Reciter: Nadeem Sarwar
Noha Karay Maan
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Aray Maan Bahut Tha Main Teri Shadi Rachaun
Ek Roz Dulhan Chand Ki Main Biyah Ky Laun
Par Lash Py Roti Hai Teri Kokh Jali Maan
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Zindan Say Tumhen Daikh Ky Ab Kaisay Jiyen Gay
Socha Tha Teray Biyah Ki Poshak Siyen Gay
Par Tujh Ko Kafan Bhi Na Mila Haye Meri Jaan
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Roti Hai Phuphi Jis Nay Tujhay Laad Say Pala
Tum Kya Gaye Rukhsat Hua Is Ghar Say Ujala
Ek Baap Zaeefi Mein Hua Bey Sar O Samaan
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Beemar Bahan Takti Hai Beta Tera Rasta
Pardais Mein Aye To Raha Yad Na Wada
Maqtal Kiya Abad Madian Kiya Veeran
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Phirta Hai Meri Ankh Mein Ab Tak Wohi Manzar
Ay Jan E Pidar Noor E Nazar Ay Ali Akbar
Ham Shakal E Nabi Kehtay Thay Tum Ko Shah E Zeeshan
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Pyasay Thay Bahut Pyaas Yeh Kis Tarah Bujhai
Is Chand Say Seenay Pay Sinaan Zulm Ki Khai
Tum Sotay Ho Maan Jati Hai Beta Sooye Zindaan
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Allah Nigehbaan Tumharay Meray Pyaray
Ham Log Rasan Basta Sooye Sham Sidharay
Sota Hai Teray Sath Yahin Asghar E Nadaan
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan
Rehan Yeh Kya Khoob Likha Gham Ka Fasana
Zehra Nay Tujhay Bakhsha Hai Lafzon Ka Khazana
Ly Ho Gya Bakhshish Ka Teri Hashr Mein Saaman
Shabeeh E Payambar Akbar Noha Karay Maan
Shah Ka Dilbar Akbar Noha Karay Maan