Reciter: Shahid Baltistani
Syeda Syeda
Abad Wallah Ya Zahra
Maninsa Hussaina
Abad Wallah Ya Zahra
Maninsa Hussaina
Syeda
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Meri Matti Mein Bhi Rakh Di Ap Ny Khak E Shifa
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Jab Bichaya Farsh E Matam Hazrat E Shabbir Ka
Pursa Lenay Qabar Say Aaiin Meray Ghar Fatima
Yeh Mera Kachcha Makaan Bhi Rashk E Jannat Ho Gaya
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Dil Bhatakta Tha Mera Duniya Ky Rang Mein Darbadar
Aap Ny Kar Ky Meri Kotahiyon Ko Darguzar
Bakhshwanay K Liye Karbobala Bulwa Liya
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Zulm Ka Aiwaan Kutbay Say Giraya Apnay
Haq Milay Ya Na Milay Sar Na Jhukaya Ap Nay
Nusrat E Mazloom Ka Hum Ko Dikhaya Rasta
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Haye Ali Mola Ali
Jab Bandhi Gardan Mein Rassi Shah E Khaibar Geer Kay
Apnay Wali Ko Bachaya Zalimon Say Ap Nay
Hashar Tak Haider Ky Lab Par Hai Tabhi Yeh Marsiya
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Ehtram E Fatima Ka Yeh Mila Us Ko Sila
Us Ka Qad Bhi Anbiya Say Aik Lamhay Mein Barha
Rukh Baqaiyya Ki Taraf Kar Ky Yeh Di Hurr Ny Sada
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Jaa Ky Balway Ny Bachaya Ismat E Shabbir Ko
Tarbiyat Yun Ap Ny Di Zainab E Dilgeer Ko
Meri Behnon Ko Bhi Parday Ka Saleeqa Aa Gaya
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Jab Suni Maan Ny Madinay Mein Yeh Zainab Say Khabar
Ho Gaye Shabbir Pay Qurban Us Kay Sab Pisar
Keh Ky Yeh Ummul Baneen Nay Shukr Ka Sajda Kiya
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Dekhtay Hain Aik Hasrat Say Teri Tooti Lahad
Aur Bhala Darwaish Kya Ho Gi Kareemi Ki Sanad
Tu Ny Har Ek Matami Ka Dil Baqaiyya Kar Diya
Shukriya Ya Fatima
Matami Mujh Ko Banaya Ap Ny Mazloom Ka
Shukriya Ya Fatima
Syeda