Reciter: Farhan Ali Waris

Amaan Main Aai Hun Amman Main Aai Hun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Yeh Khoon Bhara Kurta Kaisay Tujhay Dikhaun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Amman Yeh Aik Kurta Samaan Mein Bacha Hai
Amman Meray Akhi Ka Kurta Lahoo Bhara Hai
Marqad Mein Is Ko Rakh Lo Soghat E Sham Samjho
Tum Is Ko Pyar Kar Lo Aankhon Say Main Lagaun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Amman Libas E Kohna Manga Tha Jab Akhi Nay
Amman Mujhay Tha Maara Us Waqt Zindagi Nay
Main To Samajh Gai Thi Marnay Chala Hai Bhai
Woh Dastaan Suna Kar Main Khud Hi Mar Na Jaun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Amman Tera Gulshan Karbobala Mein Ujrha
Amman Tera Kunba Seh Roza Raha Pyasa
Khaimay Jalay Hain Amaan Looti Gai Ridayen
Main Dastaan Safar Ki Kya Kya Tujhay Bataun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Amman Meri Rida Ka Zamin Jo Ek Jari Tha
Amman Woh Mera Bhaiya Jo Aks E Haideri Tha
Bazoo Qalam Tha Us Ka Gham Ko Bhi Gham Tha Us Ka
Us Khoon Bharay Alam Ko Palkon Pay Main Uthaun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Amman Woh Sham Walay Nana Kay Ummati Woh
Amman Qasam Khuda Ki Thay Is Qadar Shaqii Woh
Bachon Py Zulm Kar Kay Khushiyan Mana Rahay Thay
Raahon Mein Marnay Walay Bachay Kahan Say Laun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Amman Tumhari Beti Woh Kam Kar Kay Aai
Amman Wahan Bhi Mainay Farsh E Aza Bichai
Kehtay Hain Jis Ko Zindaan Us Ki Zameen Thi Hairan
Khud Keh Raha Tha Zindaan Farsh E Aza Bichaun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Amman Say Bint E Haider Ro Ro Kay Keh Rahi Thi
Amman Suno Woh Manzar Jab Qaidi Main Bani Thi
Rehan Qabr E Zehra Karnay Lagi Thi Noha
Farhan Kis Tarah Say Woh Noha Main Sunaun

Teri Qabar Pay Amman Dard E Jigar Sunaun

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply