Reciter: Mir Hasan Mir

Ghazi Mery Ghazi

Aai Jab Karbobala Laot Ky Binte Zahra
Qabr E Abbas Py Zainab Ny Kiya Yeh Noha

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi
Teri Shehzadi Yun Dar Dar Na Phirai Jati

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi
Qabr E Abbas Py Zainb Yeh Sada Deti Thi

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Kabhi Yasrab To Kabhi Sooye Najaf Dekhty Thy
Kabhi Tery Katy Shanon Ki Taraf Dekhty Thy
Sheh Ny Akbar Ky Kalaijy Sy Nikali Barchi

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Ho Gai Sani E Zahra Bhi Zaeefa Abbas
Sans Leti Hun Magar Main Nahi Zinda Abbas
Tery Tukron Ki Qasam Teri Behan Toot Gai

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Pyas Mein Bhi Tujhy Awaz Diye Jaty Thy
Zair E Khanjar Bhi Tera Nam Liye Jaty Thy
Gardan E Shah Py Jab Shimr Chalata Tha Churi

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Mery Hathon Ko Bhi Rassi Sy Gaya Tha Bandha
Main Bhi Hathon Ka Na Lay Pai Sahara Bhaiya
Jaisy Tu Zeen Sy Gira Wesy Main Naqy Sy Giri

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Qaid Khana Bhi Ghareebi Py Meri Rota Hai
Lash Mastoor Uthaye Yeh Kahan Hota Hai
Farz Baiton Ka Nibha Aai Ali Ki Beti

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Kaisy Batlaun Woh Darbar Ka Manzar Bhaiya
Khelta Tha Sar E Sarwar Sy Sitamgar Bhaiya
Marta Tha Mery Mazloom Ky Honton Py Charhi

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Qabr Mein Chain Sy Masoom Ko Sony Na Diya
Woh Sitam Dhaya Kaanp Gai Karbobala
Laash Dhundi Gai Naizon Sy Ali Asghar Ki

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Larhkharhaty Thy Bahut Paon To Gir Jaty Thy
Ho Kahan Mery Jawan Ro Ky Yeh Farmaty Thy
Lash Milti Na Thi Bhaiya Ko Ali Akbar Ki

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Mir Sajjad Yeh Mehsoos Karo Gy Tum Bhi
Ati Hai Roza E Ghazi Py Sada Sarwar Ki
Aaj Bhi Qaid Hai Zindaan Mein Bachi Meri

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply