Reciter: Ahmed Raza Nasiri

Alwida Baba Alwida Baba Alwida Baba

Waqt E Rukhsat Hai Ali Ka
Aur Fiza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Dekh Kar Bali Pay Zainab
Ko Qaza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Hath Ankhon Say Laga Kar Choomtay Bey Ikhtiar
Betiyon Kay Sar Kay Bosay Lay Rahay Hain Bar Bar
Samnay Sar Ko Jhukaye Bawafa Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Waqt E Rukhsat Hai Ali Ka
Aur Fiza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Aa Gaya Haider Ko Zehra Ki Ghareebi Ka Khayal
Kar Diya Darbar Mein Hakim Nay Radd Haq Ka Sawal
Daikh Kar Tukrhay Sanad Kay Fatima Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Waqt E Rukhsat Hai Ali Ka
Aur Fiza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Hath Patkay Mein Ali Kay Dal Kar Roti Rahi
Baarha Girti Sambhalti Khak Pay Bint E Nabi
Dal Gai Gardan Mein Rassi Murtaza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Waqt E Rukhsat Hai Ali Ka
Aur Fiza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Zehn Mein Goonjay Kisi Lashay Pay Ek Bachi Kay Bayn
Hath Rakh Kar Zainab O Kulsoom Ky Sar Par Hussain
Betiyon Ko Kar Kay Maiyat Say Juda Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Waqt E Rukhsat Hai Ali Ka
Aur Fiza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Ghar Kay Aangan Mein Janaza Baap Ka Uthnay Kay Baad
Aa Gai Zainab Ko Maan Ki Ab Musallay Par Jo Yaad
Aankh Say Behtay Hain Aansoo Aur Dua Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Waqt E Rukhsat Hai Ali Ka
Aur Fiza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Muntaqim Nazron Mein Hai Ghazi Ki Ankhon Ka Jalaal
Abid E Beemar Ki Ghairat Liye Haider Ka Laal
Kheench Kar Talwar Ghaibat Mein Kharha Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Waqt E Rukhsat Hai Ali Ka
Aur Fiza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Misl E Haider Kis Kunwen Pay Ghaib Mein Ja Ja Kay Woh
Apni Tanhai Say Apnay Dard Sab Kehta Hai Jo
Al Ajal Ky Shor Mein Hal Min Sada Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Waqt E Rukhsat Hai Ali Ka
Aur Fiza Khamosh Hai
Aur Fiza Khamosh Hai

Haye Baba Haye Baba

Leave a Reply