Reciter: Tejani Brothers

Ya Hassan

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Zeyr-e-halaa hal mila, tukre jigar hogaya
Teer sitam se huwa surkh kafan aap ka

Aap ka tabut bhi lot ke ghar aagaya

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Sulho ka andaaz jo sabz kabahi me tha
Amn ka har marhala raah numayi may tha

Sabr aya(n) aap ka sari khudayi me tha

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Seerato qamat me the aap shabi-e-nabi
Aap ali manzilat aap ali azm bhi

Teghe kalam behr me aap ke hatho(n) chali

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Khoon se lagan bhargaya kaysa sitam hogaya
Zowja-e badbakht ne aap pe ki thi jafa

Gham se bura haal tha zainabo kulsum ka

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Teero(n) ki barish huwi aap ke tabut par
Pehla janaza tha jo lot ke aaya tha ghar

Karbobala ke liye thi yahi pehli khabar

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Sara badan sabz tha zehr ki taseer se
Dard ye puchhe koi hazrate shabbir se

Surkh tha ujla kafan aap ka jab teer se

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Nana ke pehlu me bhi dafn na hone diya
Kayse sitamghar the baniye zulmo jafa

Kayse laeeno ne ki zulm ki ye inteha

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Kya likhu(n) “rehan” ab gham se jigar chaakh he
Aaj ghamo ranj ki sar pe mere khaak hai

Shor bapa aaj ye barsare aflaak hai

Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda

Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply