Reciter: Nadeem Sarwar
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haye
Ya Hussain Kushta E Taigh E Jafa
Ya Hussain Sibt E Rasool E Khuda
Haye Sar Barsar E Naiza Tera
Dar Badar Lay Gaye Bani E Jafa
Bey Kafan Lasha E Bey Sar Hai Ghareeb E Zehra
Hai Badan Ghorhon Say Pamal Tera Wawaila
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Nainawa Dasht E Bala Karbala
Kiun Hui Jor O Jafa Karbala
Kya Thi Pyason Ki Khata Karbala
Kuch To Keh Kuch To Bata Karbala
Apnay Mehman Py Yeh Bandish E Pani Kiun Kar
Jis Ki Madar Ko Mehr Mein Mila Hoz E Kausar
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haye
Aik Maqtal Mein Bahattar Lashay
Bhanjay Baitay Bhateejay Pyasay
Para Para Huye Saray Aisay
Aik Quran Kay Paray Jaisay
Khak Urh Urh Kay Shaheedon Ka Kafan Banti Thi
Khuld Say Fatima Zehra Ki Sada Ati Thi
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haye
Ek Taraf Behta Tha Dariya E Furat
Ek Taraf Pyason Py Mushkil Thi Hayat
Bad E Shabbir Aseeron Ki Woh Raat
Kaisay Guzri Tan E Sad Pash Ky Sath
Koi Bhai Ko Koi Roti Thi Baiton Kay Liye
Bey Kasi Woh Thi Keh Ansoo Na Thay Ankhon Kay Liye
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haye
Tashna Lab Bey Watan O Bey Khata
Sar Tha Sajday Mein Tah E Taigh …
Aik Aik Zakhm Say Khoon Behta Tha
Noha Karti Thiin Janab E Zehra
Khaimay Kay Dar Py Bahan Karti Thi Faryad O Fughan
….. Sehra Mein Kisi Shakhs Ki Awaz E Azaan
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haye
Mar Gaya Shair E Alamdar E Jari
Chal Gai Qasim E Mehroo Py Churi
Mar Gaya Dasht Mein Ham Shakl E Nabi
Kha Ky Seenay Pay Sitam Ki Barchi
Ghar Ka Ghar Zainab E Mazloom Ka Barbad Hua
Lutt Gaya Shair E Nabi Karbala Abad Hua
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haye
Kat Gaye Bazu E Saqqa E Haram
Chid Gai Mashk Hua Thanda Alam
Khaima E Sheh Mein Tha Barpa Matam
Noha Kartay Thay Sabhi Ahl E Haram
Ay Alamdar Utho Chinti Hai Zainab Ki Rida
Koi Baqi Na Raha Abid E Muztar Ky Siwa
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haye
Fatima Zehra Yeh Deti Hain Dua
Ta Qayamat Rahay Yeh Farsh E Aza
Yun Hi Ati Rahay Matam Ki Sada
Ho Har Ek Lab Py Hussaini Noha
Hashr Mein Sheh Ky Azadaron Say Pursa Loon Gi
Main Azadaron Ko Jannat Ki Basharat Dun Gi
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Haye
Kaisay Rehan Main Likhun Noha
Gham Say Seena Hai Mera Karbobala
Ankh Say Behta Hai Khoon Ka Dariya
Kartay Hain Qalb O Jigar Bhi Giriya
Haye Woh Bey Kas O Mazloom Woh Bey Yaar Hussain
Roye Gay Hashr Talak Tujh Ko Azadar E Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain