Reciter: Farhan Ali Waris
Ya Sarallah Hussain
Ya Sarallah Hussain
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Teray Hi Gham Mein Sar Ko Katayen
Teray Hi Gham Mein Jan Lutayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Sarallah Hussain
Teri Taraf Jab Dill Jata Hai
Banda Khuda Say Mil Jata Hai
Zakhm Jigar Ka Sill Jata Hai
Gham Ki Dawa Hum Tujh Sy Hi Payen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Sarallah Hussain
Farsh E Aza Aur Tera Matam
Aisay Namaz E Ishq Parhen Hum
Eid Ho Ya Ho Mah E Muharram
Ati Rahen Har Ghar Say Sadayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Saarallah Hussain
Shajron Ki Tasdeeq Tera Gham
Naslon Ki Tehqeeq Tera Gham
Bayes E Takhleeq Tera Gham
Kiun Na Sadayen Dill Say Yeh Ayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Saarallah Hussain
Ashk E Aza Jageer Hamari
Matam Hai Tafseer Hamari
Farsh E Aza Tameer Hamari
Farsh E Aza Phir Kiun Na Bichayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Saarallah Hussain
Ahl E Jahan Maanen Na Maanen
In Ko To Mukhtar Hi Jaanen
Zinda Hain Tujh Say Hi Azaanen
Batlati Hain Khooni Qabayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Saarallah Hussain
Tujh Py Chala Jab Shimr Ka Khanjar
Zehra Ki Aghosh Mein Tha Sar
Mehw E Buka Thi Rooh E Haider
Kehti Thi Kis Tarah Bachayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Saarallah Hussain
Baad Teray Woh Sham E Ghareeban
Sehm Huye Bachay Thay Hiraasan
Pehray Par Zainab Thi Pareeshaan
Lay Gaye Zaalim Sar Say Ridayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Saarallah Hussain
Itni Jagayen Zain Ul Ibaa Par
Shukr Kiya Har Aik Jifa Par
Daikhiin Ridayen Nok E Sinaan Par
Jalti Zamaan Aur Garm Hawayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Saarallah Hussain
Mazhar Ki Har Waqt Dua Hai
Duniya Ki Har Shay Ko Fana Hai
Jab Tak Baqi Yeh Duniya Hai
Ati Rahen Matam Ki Sadayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Sarallah Hussain Ya Saarallah Hussain