Reciter: Tejani Brothers
Karbala Karbala Hussain
Farsh E Zameen Jahan Par Arsh E Bareen Hua Hai
Aur Ishq Ki Jabeen Ka Kaaba Numa Bana Hai
Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain
Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain
Ek Simt Dar Hai Sheh Ka Ek Simt Bawafa Hai
Har Mehl Sy Musalsal Ati Yehi Sada Hai
Aa Jao Zayero Keh Baab E Karam Khula Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Yeh Arz E Karbala Hai Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Dekh Gaye Hain Aisy Karbobala Mein Manzar
Banty Hain Is Jaga Par Bigrhy Huye Muqaddar
Rozy Sy Ab Bhi Hurr Yeh Awaz Dy Raha Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Yeh Arz E Karbala Hai Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Naam E Bawafa Sy Yeh Mas Hui Hai Jab Say
Leta Hai Arsh Munh Say Is Ky Barhy Adab Say
Tay Ho Gaya Yeh Dharti Arshon Ki Sajda Gah Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Yeh Arz E Karbala Hai Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Abbas E Bawafa Ki Shahi Yahan Hai Chalti
Hai Khush Naseeb Paye Jo Izn E Bari Abi
Chalna Yahan Sambhal Kar Jageer E Bawafa Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Yeh Arz E Karbala Hai Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Arsh E Bareen Yehi Hai Mairaj Ki Hai Manzil
Karbobala Ko Aisi Azmat Hui Hai Hasil
Sultan E Do Jahan Ny Sajda Yahin Kiya Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Yeh Arz E Karbala Hai Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Wajib Hai Anbiya Par Tazeem Karbala Ki
Jaye Namaz Hai Yeh Ham Shakl E Mustafa Ki
Goudi Mein Soya Is Ki Chay Maah Ka Murtaza Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Yeh Arz E Karbala Hai Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Subh Mein Saa Tejani Karta Hun Yeh Dua Main
Ashoor O Arbaeen Ho Ausaf Karbala Mein
Armaan Dill Mein Meray Bas Ab Yehi Basa Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Yeh Arz E Karbala Hai Yeh Arz E Karbala Hai
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Karbala Karbala Hussain
Karbala