Reciter: Tejani Brothers
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Zara dekho to ay mere nana,
Na rahe mere bete na bhayya,
Sara kunba luta ke mei aayi
Apni qismat sunaane ko aayi
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Khushk kuze liye pyaase bache, Al-atash ki sada leke aaye,
Baandh kar mashk ko ik alam se, Ghazi beteygh maqtal mei aaye
Unki quwwat thi kuze ke andar, behgaya mashk se teer khaakar
Sogaya dono bazu kataake, degaya wo bhi daagh-e-judaayi
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Ibn-e-sheyr-e-khuda sa dilaawar, koi tareekh mei hai na aisa
Jo tha bibi ke parde ka zamin, apne bazu kata ke wo soya
Uske marne se ay mere nana, hogayi bibiyaa(n) sar barehna
Sani-e-fatemah ka khula sar, dekhti thi haaye sab khudayi
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Meri amma ki tarha bhi haaye, do hi bête the bas paas mere
Misl-e-zahra bhi karbobala mei, dediya unko dee(n) ko bachaane
Aaye anbaar zalim ke lashkar, ghayra aun-o-muhammad ko aakar
Har taraf se huwa haaye hamla, Hogaye wo bhi sheh pe fidaayi
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Nana us waqt me margayi thi, pohnchi darbaar ke jab me dar par
Takht se puchha zalim batawo, tum me se kon hai binte haidar
boli abbas ki hu(n) me khahar, lot jawungi tujhko mitaakar,
baap ke lehje me deke khutba, mene zalim ki masnad hilayi
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Har qadam raah-e-shaam aur kufa, na aziyyat ki koi kami thi.
Har qadam pe thi pathar ki barish, nehr-e-khu(n) jism se beh rahi thi
Yaad hai ke yahi mene socha, us ghari jab mera sar jhuka tha
Kal thi kufe ki mei shaahzaadi, Aaj qaydi hu mei banke aayi,
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Haaye Shabbir ki dil ki dharkan, meri mazloom pyaari Sakina
Uske honto(n) pe bas tha ye nawha, jabse bichra tha baba ka seena
Mere ammu kahaa(n) ho bachaalo, Mujhko aake shimar se chupalo
Hai tamacho(n) se ruksaar neele, Aur Rasan mei bandhi hai kalaayi
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Dil mera gham se phat’ta hai nana, yaad mei aati hai jab Sakina
Taziyaanei(n) jo khaati thi din bhar, roti thi yaad karke madina
Bichri zindaa(n) mei bhaayi ki dukhtar, khu(n) mei tar wo janaza uthaakar
Kaampte haatho(n) se mene nana, eik nanni si turbat banayi
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Waqt-e-akhir tha baba ka nawha, akhri sajda mei kar na paaya
Aur masjid ke mimbar se haaye, na huwa khatm wo shakshakiyyah
Reyt par us tamanna ki khatir, kiya bhaayi ne sajda-e-akhir
Aur darbaar mei banke haider, teygh khutbo(n) ki aisi chalaayi
Zainab, haaye zainab, haaye zainab, haaye zainab
Kya likhe aur gham ki kahani, jab jigar kaampta hai “Tejani”
Haaye Zainab ne roke dikhaya, taziyaa(n) aur rassan ke nishani
Roke kehne lage phir ye ahmed, hogayi tumpe har gham ki ik had
Mei na seh pawuga aur beti, ab na do haaye zainab duhaayi