Reciter: Mir Hasan Mir

Haye Ali Haye Ali Haye Ali

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par
Kya Yad Ali Ko Aya Hai Bazar E Sham Musallay Par

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par

Khoon Jari Tha Zakhmi Sar Sy
Roty Thy Namazi Saff Mein Kharhy
Kis Tarha Hasan Ny Ro Ro Kar Ki Fajar Tamam Musallay Par

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par

Kya Maan Ki Tarha Leny Tum Ko Masjid Mein Chali Aye Zainab
Baba Ko Ja Kar Haye Do Fizza Mera Paigham Musallay Par

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par

Haye
Zakhmi Pehloo Jab Yad Aya Zakhmi Paishani Bhool Gaya
Zahra Ki Museebat Par Roya Mazloom Imam Musallay Par

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par

Yeh Pehli Fajar Hai Zainab Ki Sajdy Mein Sukoon Milta Hi Nahi
Dill Doobta Hai Ata Hi Nahi Ek Pal Aram Musallay Par

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par

Deewar E Kaaba Beth Gai Al Hamd Lahoo Mein Doob Gai
Ummat Sy Mila Hai Mola Ko Kaisa Inaam Musallay Par

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par

Us Ghairat Daar Ki Ghurbat Par Roti Hai Ali Ki Ghurbat Bhi
Chalees Baras Jo Kehta Raha Ash-shaam Ash-shaam Musallay Par

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par

Shabbir Ki Janib Sy Akbar Qatil Ko Pilaya Tha Sharbat
Jab Yad Ali Ko Aya Tha Ek Tishna Gaam Musallay Par

Ro Ro Ky Ali Kiun Lety Hain Zainab Ka Naam Musallay Par

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply