Reciter: Farhan Ali Waris
Zainabam Zainabam Zainabam
Waqt E Widahmi Farmayat Hussain
Ay Jan E Baradar Umeed E Dil E Hussain
Baad Az Khuda Mi Suparam Bu Too
In Khanuma In Tafliha Yar E Numa
Ya Ghamzada Zainabam Zainabam Zainabam
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Jaun Ga Main Jahan Jahan
Sehnay Parhen Gay Hamen Gham
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Koi Baqi Na Raha Bandh Li Hum Nay Bhi Kamar
Hain Chamaktay Huye Meray Marnay Ki Khabar
Teray Hawalay Hain Behan Tifl Meray Meray Haram
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Sham Dhal Jaye To Yeh Wada Nibhana Bibi
Apnay Seenay Pay Sakina Ko Sulana Bibi
Kon Sambhalay Ga Usay Jab Na Rahen Gay Yahan Hum
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Jab Meray Halq Pay Shamsheer E Sitam Chalnay Lagay
Zulm Ki Faoj Mein Naqqara Agar Bajnay Lagay
Dekhna Abid Na Uthay Khainchay Huye Taigh E Do Dam
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Jab Tumhen Sham Ky Darbar Mein Lay Jayen Shaqi
Yad Kar Lena Jo Amman Pay Thiin Uftaad Huiin
Log Wohi Zulm Wohi Bat Wohi Aur Wohi Hum
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Sab Ky Shanay Hon Rasan Basta Sakina Ka Gala
Aisay Alam Mein Bhi Karna Nahi Ummat Say Gila
Sani E Zehra Ho Behan Sehna Usi Tarah Sitam
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Bey Rida Daikh Na Paye Tujhay Duniya Ki Nazar
Is Liye Naizay Say Gir Jaye Ga Abbas Ka Sar
Qari E Quran Wahan Hon Gay Isi Dard Say Hum
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Yaad Rakhna Yeh Sitam Howay Ga Doran E Safar
Taiz Naaqay Say Jo Gir Jaye Gi Meri Dukhtar
Dhund Ky Tum Lana Usay Qafilay Ko Roken Gay Hum
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Kon Humdard Yahan Baqi Hai Pyasay Kay Liye
Ek Naseehat Kiye Jata Hun Dilasay Kay Liye
Hayya Ala Khairilamal Tum Yeh Kaho Aur Kahen Hum
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum
Dam E Rukhsat Thi Farhan Shah E Deen Ki Fughan
Baad Meray Jo Sitam Hon Gay Karun Kaisay Bayan
Sath Nahi Deti Zubaan Ban Gaya Khud Mazhar E Gham
Zainabam Zainabam Khuahar E Gham Parwarum