Reciter: Farhan Ali Waris

Haider Ky Hami Zinda Hain
Shabar Kay Hami Zinda Hain
Shabbir Ky Hami Zinda Hain
Abbas Ky Hami Zinda Hain
Sajjad Ky Hami Zinda Hain
Akbar Ky Hami Zinda Hain
Asghar Ky Hami Zinda Hain
Qasim Ky Hami Zinda Hain
Haider Ky Hami Zinda Hain
Shabar Ky Hami Zinda Hain
Shabbir Ky Hami Zinda Hain

Tujh Say Wada Hai Yeh Shah E Karbobala
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Apni Awaz Mein Apnay Andaz Mein
Apnay Anjam Mein Apnay Aghaz Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Apni Awaz Mein Apnay Andaz Mein
Apnay Anjam Mein Apnay Aghaz Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Apni Naslon Ko Paygham Den Hum Yehi
Matam E Shah E Deen Qarz Hai Har Gharhi
Maqsad E Karbala Aam Kartay Raho
Waqf Kar Do Gham E Shah Mein Zindagi
Apnay Paygham Mein Apnay Ahkam Mein
Apnay Aalam Mein Apnay Har Kam Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Khoon Ragon Mein Taqaza Yeh Karta Rahay
Tum Raho Na Raho Haq To Zinda Rahay
Sans Ruk Jaye Kat Jaye Chahay Zabaan
Khoon Behta Rahay Aur Yeh Kehta Rahay
Apni Tasheer Mein Apni Tafseer Mein
Apni Tehreer Mein Apni Taqreer Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Maan Nay Ghutti Mein Hum Ko Pilaya Hai Kya
Karbala Karbala Karbala Karbala
Bolna Yun Sikhaya Keh Bolo Zara
Karbala Karbala Karbala Karbala
Apnay Ashaan Mein Apnay Wajdan Mein
Apnay Emaan Mein Apnay Ailaan Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Zuljanah O Amari Alam Taziye
Yeh Alamat Hain Mit Na Jaye Kahin
Mannati Hathkarhi Aur Kalaway Jo Hain
Sari Duniya Mein Yeh Apni Pehchan Hain
Apnay Aasar Mein Apni Guftaar Mein
Apnay Esaar Mein Apnay Kirdar Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Noha Khuwani Ka Mansab Mila Hai Jisay
Us Pay Wajib Hua Bas Yeh Paigham Dey
Teray Lehjay Mein Ghazi Ki Lalkar Ho
Aur Chehray Pay Hon Karb Sajjad Kay
Apni Faryad Mein Apni Uftaad Mein
Apni Har Yaad Mein Apni Aolad Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Sab Kay Lashon Pay Shabbir Rotay Rahay
Lash E Shabbir Par Koi Ro Na Saka
Yeh Sitam Dekh Kar Boli Sajjad Say
Bint E Khaibar Shikan Sani E Sayeda
Apnay Ailaan Mein Gham Ky Aiwaan Mein
Gham Ky Toofan Mein Jaa Ky Zindan Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Jab Aseeran E Gham Sham Janay Lagay
Chashm E Sajjad Say Ashk Behnay Lagay
Bey Kafan Baap Ki Lash Par Gir Parhay
Mera Wada Hai Yeh Ro Ky Kehnay Lagay
Apnay Azaar Mein Raah E Pur Khaar Mein
Jaa Ky Bazar Mein Aur Darbar Mein Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Kam Sinon Ki Judai Mein Asghar Ka Gham
Aur Jawanon Ky Gham Mein Ho Akbar Ka Gham
Baap Say Koi Beti Bicharh Jaye Gar
Hum Manayen Gay Bali Sakina Ka Gham
Apnay Pyaron Ka Gham Bhool Jayen Gay Hum
Har Jaga Har Qadam Maula Teri Qasam Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Jo Qalam Aur Awaz Py Qarz Hai
Qarz Ho Woh Ada Al Madad Sayeda
Kam Farhan O Mazhar Yeh Kartay Rahen
Qariya Qariya Sada Al Madad Sayeda
Maqsad E Karbala Chup Nahi Payega
Tujh Say Wada Raha Jaan Kar Ky Fida Hum Sada
Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala

Karbala Karbala Karbala
Ya Hussain
Zinda Rakhenge Hum Karbala
Ya Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply