Reciter: Farhan Ali Waris
Ho Raha Hai Dasht Mein Matam
Aaj Shaheedo Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Ho Raha Hai Dasht Mein Matam
Aaj Shaheedo Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Haye Loot Ka Saman Mila Mil Gai Ridayen Sab
Matam E Hussain Ko Taras Gaye Thay Tashna Lab
Ab Karen Jee Khol Ky Matam
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Haye Bey Rida Jo Bibiyan Thiin Aaj Huiin Ba Rida
Apnay Apnay Warison Ko Ro Rahi Hain Gham Zada
Kehnay Laga Dasht Ka Aalam
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Koi Yeh Kehnay Lagi Haye Meray Bawafa
Haye Ali Akbaram Keh Ky Koi Ro Diya
Dill Yeh Sada Deta Tha Payham
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Haye
Sani E Zehra Nay Phir Aa Ky Haram Say Kaha
Aaiye Sab Mil Ky Ham Kartay Hain Majlis Bapa
Laiye Abbas Ka Parcham
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Dasht E Bayaban Say Phir Woh Mukhatib Huiin
Lal O Gohar Sab Meray Kha Gai Teri Zameen
Daikh Len Sadaat Ka Matam
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Haye
Seena Zani Thi Kahin Aur Kahin Shor O Shain
Aik Sada Char Soo Goonj Uthi Ya Hussain
Ho Gai Ashkon Say Zameen Num
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Bayn Yeh Fizza Kay Thay Karbobala Kuch Bata
Kaisay Rukay Aankh Say Ashkon Ki Yeh Alqama
Kaisay Karen Zabt Bhala Hum
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Haye
Tham Liya Hath Say Qalb Ko Sajjad Nay
Lakh Dilasay Diye Zainab E Nashad Nay
Aa Gaiin Masooma E Alam
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila
Aik Hi Paigham Hai Mazhar O Farhan Ka
Pursa Muhammad Ko Den Aaiye Ahl E Aza
Kijiye Zanjeer Ka Matam
Aaj Shaheedon Ka Hai Chehlum
Sham Say Aaya Hai Qafila