Maula Haq Imam Lyrics Tejani Brothers Noha 2011-12

Maula Haq Imam Lyrics written in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Tejani Brothers in 2011-12. View and download Tejani Brothers Noha Lyrics similar to lyrics of Maula Haq Imam on Khairilamal.

Maula Haq Imam Lyrics by Tejani Brothers in English text

Hayya ala khayril amal, Hayya ala khayril amal
Ya Hussain, ya Hussain, ya hussain

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

Teero(n) pe tha lasha tera
Aur jism tha khu(n) se bhara
Jab aya khali zuljanah
Peyro(n) se lipti bibiyaa(n)

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

Qasim jawaa(n) maara gaya
Pamaal bhi laasha huwa
Sheh ne kiye tukre jamaa
Roti rahi, qasim ki maa(n)

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

Abbas ke bazu kate
Paani baha wo mashk se
Gore ke zeen se jab gire
Thi ye sakina ki fughan

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

Sughra ne dekha khwaab mei
Nazro(n) mei ik partaab mei
Asghar sawaal-e-aab mei
Aur khu(n) mei duba sarebaa(n)

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

Nanna gala asghar ka tha
Aur teer bhi uspe chala
Haatho(n) mei sheh ke khu(n) baha
Rote rahe teero kamaa(n)

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

Shame ghariban ki ghari
Neze se sab chadar chinni
Aur aag khaymon me lagi
Khamosh tha arz-o-samaa(n)

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

Abid ka tha ye imtihaa(n)
Pao(n) mei jakde beriyaa(n)
Hatho(n) mei bandhe rassiyaa(n)
Aur sheh ka sar nok-e-sinaa(n)

Sajjad ka wo imtehan, sajjad ka wo imtehan

Wo sham ka darbaar tha
Zainab khari thi berida
Zalim ne ye haske kaha
Ab hai tera ghazi kahan

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

Ab hai Tejani ki sada
Ay matami sunlo zara
Hai bibi zahra ki dua
Har matami aur nawhakhuan

Maula haq imam ya hassan ya hussain
Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain

The zakhm wo tan pe hazaar
Tha sine par, zalim sawaar
Khanjar chalaya baar baar
Aur halq se, tha khu(n) rawaa(n)

Leave a Reply

Your email address will not be published.