Reciter: Farhan Ali Waris
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Dekh Woh Pyasy Bachy Sheh Ky Hathon Mein Hain Khali Koozay
Dekh Udhar Dariya Ki Rawani Us Py Sitam Hai Tashna Dahani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Malik E Kosar Pani Ko Tarsy Aur Pani Phir Bhi Na Barse
Sookhy Hain Lab Aur Zubanen Rukny Lagi Sanson Ki Rawani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Aasman Tujh Ko Taras Na Aya Ab Tak Na Pani Barsaya
Sookhy Huye Koozay Bhi Sunayen Tishna Labon Ky Gham Ki Kahani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Dasht Mein Har Soo Zulm Ky Lashkar Pehry Lagaye Hain Pani Par
Qaid Hui Dariya Ki Mojen Ghairy Huye Hain Zulm Ky Bani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Tu To Hai Sairab Is Neymat Sy Soch Zara Lekin Shiddat Sy
Tujh Ko Ja Kar Kon Bataye Tashna Labi Ky Kya Hai Mu’aani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Dekhna Ek Din Aye Ga Woh Pani Sy Mehroom Rahy Jo
Sary Jagg Mein Hon Gi Sabeelen Tashna Labon Ki Ban Ky Nishani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Kehti Hai Tujh Sy Khak E Bayaban Bachy Hain Beytaab Hirasan
Ati Hain Rony Ki Sadayen Kehty Hain Ro Kar Pani Pani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Kon Hai In Par Rehm Jo Khaye Aur Pyason Ko Pani Pilaye
Door Hain Yeh Apny Watan Sy Aaye Hain Kar Ky Naql Makani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Ashkon Sy Apni Pyas Bujhai Pyasy Dety Hain Duhai
Dekh Ky Roty Hain Dariya Ko Sookhy Labon Ka Rang Hai Dhaani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman
Aaj Bhi Dil Par Zakhm Hai Taza Is Sy Tu Kar Ly Andaza
Pani Piyen Farhan O Mazhar Pyason Py Kar Ky Fateha Khuwani
Aasman Barsa De Pani Pani Barsa De Aasman