Reciter: Farhan Ali Waris
Aay Jo Is Jahan Mein Hamshakal E Mustafa
Aisa Laga Keh Chand Zameen Par Utar Gaya
Aaya Phuphi Ki Goud Mein Jis Waqt Meh Laqa
Paishani Us Ki Choom Kay Zainab Nay Yeh Kaha
Charcha Karo Jahan Mein Is Shahkaar Ka
Tohfa Mila Hussain Ko Parwardigar Ka
Al Qissa Shehar Shehar Khabar Ho Gai Yeh Aam
Akhbar Mein Likha Gaya Mazmoon Yeh Tamam
Akbar Py Husn Ka Kiya Khaliq Nay Ikhtitam
Na Tha Na Hai Na Ho Ga Hussain Aisa Wassalam
Mehboob E Haq Hai Shakal Mein Haider Hai Shan Mein
Baham Huye Nabi O Ali Phir Jahan Mein
Par Ashk Badshah E Halab Ko Siwa Hua
Us Ky Khameer Mein Yeh Namak Tha Mila Hua
Jis Roz Yousuf E Aal E Abaa Hua
Us Roz Woh Bhi Moorid E Fazl E Khuda Hua
Dil Mein Ali Ka Ishq Tha Yeh Aarzoo Mili
Shah E Halab Ko Chand Si Beti Ataa Hui
Shah E Halab Nay Pai Musarrat Ki Yeh Khabar
Utra Hai Aaj Sehan E Muhammad Mein Ek Kamar
Khush Ho Gaya Woh Shah E Halab Bas Yeh Soch Kar
Beti Ka Meri Aqad Ho Is Chand Say Agar
Us Roz Say Halab Ka Woh Sultan Naam E Daar
Taaron Ky Badlay Chand Kiya Karta Tha Shumar
Attharwan Baras Hua Akbar Ko Jab Shuru
Shah E Halab Ky Bakht Ka Sooraj Hua Tulooh
Chaha Keh Rasm E Aqad Ka Is Saal Ho Wuqooh
Yeh Soch Ky Hussain Say Us Nay Kiya Rujooh
Sultan Key Khat Ko Paya Jo Zehra Ky Chain Nay
Khat Ka Diya Jawab Usay Yun Hussain Nay
Pahuncha Tera Areeza Hua Ittilaa E Haal
Beti Ky Aqad Ka Ali Akbar Say Hai Khayal
Armaan Hai Kamal Teri Aarzoo Kamal
Main Bhi Dua Karun Ga Mubarak Ho Tujh Ko Saal
Hai Marzi E Mabood To Inkar Kya Mera
Taqdeer Mein Nahi Hai To Iqrar Kya Mera
Shah E Halab Ko Pahuncha Jun Hi Ruqqa E Imam
Khush Ho Gaya Naseeb Ky Khlnay Pay Naik Naam
Zoja Say Apni Karnay Laga Is Tarah Kalam
Beti Kay Aqad Ki Karo Tayyarian Tamam
Duniya O Akhirat Mein Teri Aabroo Banay
Beti Teri Hussain Ky Ghar Ki Bahoo Banay
Saman Jahan To Tha Ali Akbar Ky Biyah Ka
Nikla Udhar Woh Qafila Yasrab Ky Shah Ka
Atay Hi Dasht Mein Hua Nargha Sipah Ka
Ghira Adoo Nay Khaima Risalat Panah Ka
Dulhan Ky Ghar Mein Log Ghiza Nosh Kartay Thay
Dulha Ky Ghar Mein Tifl Bhi Faaqon Say Martay Thay
Sehra Wahan Bana Ali Akbar Kay Wastay
Ya Maot Noha Gar Thi Usi Sar Kay Wastay
Poshak Thi Wahan Dil E Haider Kay Wastay
Ya Bay Kafani Thi Usi Dilbar Kay Wastay
Sadqay Rasool Zadiyan Murday Pay Hoti Thiin
Zainab Sirhanay Paain Thiin Maan Behnen Roti Thiin
Ab Majra Halab Ka Sunaun Keh Kya Hua
Shah E Halab Ka Mehl Tha Kaisa Saja Hua
Yasrab Ka Qasd Dil Mein Abhi Tha Chupa Hua
Itnay Mein Aik Shakhs Wahan Roonuma Hua
Us Nay Sunani Aan Ky Di Badshah Ko
Maqtal Mein Mar Dala Shah E Deen Panah Ko
Sultan Patakh Ky Taj Pukara Keh Kya Hua
Us Nay Kaha Hussain Shaheed E Jafa Hua
Gharqaab Ashk Mazhar E Noor E Khuda Hua
Yani Tabah Gulshan E Aal E Abaa Hua
Yeh Baat Sun Ky Ronay Laga Phir Woh Naik Naam
Shadi Ky Ghar Mein Ho Gaya Majlis Ka Ehtmam
Maqtal Mein Pahuncha Ahl E Haram Ka Jo Karwan
Daikha Keh Ek Uroos Hai Lashon Kay Darmiyan
Bas Ay Dabeer Khatm Karo Marsiya Yaahn
Sar Nangay Ball Kholay Woh Karnay Lagi Fughan
Janay Hussain Ki Mujhay Is Dam Talash Hai
Ay Karbala Kidhar Meray Dulha Ki Lash Hai