Reciter: Umair Zubair

Jin Ki Dehleez Py Jhukty Hain Zamanay Waly
Mery Malik Hain Woh Zahra Kay Gharany Walay

Jin Ki Dehleez Py Jhukty Hain Zamanay Walay

Aaj Nanay Da Shehar Chorh Kay Karbal Ko Chalay
Deen Ki Doobti Kashti Ko Bachanay Walay

Jin Ki Dehleez Py Jhuktay Hain Zamanay Walay

Haye Afsos Keh Pyasay Hi Rahy Karbal Mein
Jam Kosar Ky Zamanay Ko Pilanay Walay

Jin Ki Dehleez Py Jhuktay Hain Zamanay Walay

Hashr Ky Din Ka Nahi Is Liye Gham Koi Mujhy
Hain Mery Sar Py Meri Laaj Nibhanay Walay

Jin Ki Dehleez Py Jhuktay Hain Zamanay Walay

Kis Tarah Ghair Ky Farooqi Qaseeday Gaaye
Sadqa Hasnain Kareemain Ka Khanay Walay

Jin Ki Dehleez Py Jhuktay Hain Zamanay Walay

Mery Malik Hain Woh Zahra Kay Gharany Walay

Jin Ki Dehleez Py Jhuktay Hain Zamany Waly

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply