Reciter: Nadeem Sarwar

Bayan Karta Hun Darbar E Shaam Ka Manzar
Jahan Thy Saat So Kursi Nasheen Fitna Gar
Yazeed Jhoom Raha Tha Sharab Pee Pee Kar
Aur Aisi Bazm Mein Afsos Aal E Payghambar
Tha Un Ky Samny Ek Bad Kalam Mimbar Par
Bayan Karta Tha Jhoty Yazeed Ky Johar
Jab Us Ny Khatm Ki Taqreer Bad Kalami Par
Khateeb E Jehl Sy Boly Yeh Abid E Muztar
Ky Tu Ny Khush Kiya Makhlooq Ko Zuroor Magar
Khareeda Qehr E Khuda Tu Ny Mukhtasar Zar Par

Ary Jahan Ho Zikr E Bad Atwaar Woh Mimbar Kab Hai
Lakrhion Ka Hai Woh Anbaar Woh Mimbar Kab Hai

Kaha Yazeed Sy Kuch Main Kahun Ijazat Dy
Yazeed Chup Tha To Darbari Sary Kehny Lagy
Yazeed Dy Dy Ijazat Isy Bhi Kehny Dy
Yeh Kya Kahy Ga Larazta Hai Jo Naqaahat Sy

Sambhaly Taoq O Rasan Shaa E Kirdegaar Aai
Imam Aaye Ky Mimbar Py Zulfiqar Aai

Ya Hussain Ya Hussain

Jis Ka Mimbar Tha Wohi Bar Sare Mimbar Aaya
Woh Akela Tha Magar Soorat E Lashkar Aaya
Lab Kusha Soorat E Quran Woh Haider Aaya
Jab Woh Khamosh Zubaan Bar Sare Darbar Chali
Karbala Mein Na Chali Thi Woh Talwar Chali

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Lehja E Noor Mein Maula Ny Kaha Bismillah
Layeq E Hamd O Sana Hai To Wohi Aik Khuda
Jis Ny Hum Aal E Muhammad Ko Hai Takhleeq Kiya
Jis Ko Maloom Hai Maloom Hai Mera Shajra
Jo Nahi Janta Woh Sun Ly Ta’aruf Mera

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Hum Ko Allah Ny Chay (6) Khobian Bakhshiin Ba Khuda
Ilm Aur Hilm Diya Aur Dil E Momin Mein Rakha
Hai Samaahat, Wa Fasahat Wa Shuja’at Wirsa
Kam Na Thiin Khoobiyan Chay (6) Go Ky Yeh Izzat K Liye
Sifaten Saath Miliin Aur Fazeelat K Liye

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Hum Mein Awwal Jo Thy Woh Ahmad E Mukhtar Huye
Koi Hamza To Koi Jafar E Tayyar Huye
Hum Hi Haider Huye, Abbas E Alamdar Huye
Hum Ko Mairaj E Risalat Bhi Imamat Bhi Mili
Hum Ko Mehraab E Ibadat Mein Shahadat Bhi Mili

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Us Ka Farzand Hun Seh Roz Raha Jo Pyasa
Darmian Zeen O Zameen Jis Ka Raha Tha Lasha
Jis Ky Sajdy Ky Sabab Khak Bani Khak E Shifa
Khak Aur Khoon Mein Dooba Tha Umama Jis Ka
Summ E Asbah Taly Ronda Gaya Lasha Jis Ka

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Ahl E Insaf Ab Insaf Sy Itna Keh Den
Jis Ki Chokhat Py Salami Ko Farishty Utren
Noky Naiza Sy Laeen Un Ki Ridayen Looten
Tum Ny Khaimey Nahi Allah Ka Ghar Khak Kiya
Kalma Parh Parh Ky Muhammad Ka Jigar Chaak Kiya

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Jis Ky Pardy K Liye Ayat E Tatheer Aaye
Sang Barsaty Huye Un Py Yahan Tak Laye
Haif Hai Rooh E Muhammad Sy Na Tum Sharmaye
Hum Ny Paband E Rasan Ho Ky Tujhy Maara Hai
Ibne Marjana Tu Jeeta To Nahi Haara Hai

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Baat Jab Khul Gai Sadaat E Muhammad Hain Yahan
Ro Diye Ahl E Jafa Ubhra Baghawat Ka Samaan
Aur Isi Shor Mein Hakim Ny Diya Hukm E Azan
Saat Afraad Jo Yak Musht Azaan Deny Lagy
Haq Mein Sajjad Ky Darbari Bayaan Deny Lagy

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Jab Moazzin Ny Kiya Kalma E Takbeer Ada
Boly Sajaad Bazurgi Hai Usi Ko Zaiba
Jaisy Hi Naam Muhammad Ka Moazzin Ny Liya
Murh Ky Hakim Sy Kaha Tery Irady Bad Hain
Yeh Muhammad Hain Tumhary Ky Hamary Jadd Hain

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Aeb Kiun Apny Kiun Chupata Hai Azaanen Dy Kar
Thy Agar Tery Muhammad To Sitam Kiun Hum Par
Daal Is Taoq Py, Zanjeer Py Ek Baar Nazar
Zakhm Jo Tu Ny Diye Sab Dil E Beemar Mein Hain
Betian Hain Yeh Muhammad Ki Jo Darbar Mein Hain

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Tu To Kehta Hai Ky Hai Dhong Naoozobillah
Na Payambar Na Wahi Aai Na Quran Utra
Phir Azaanen Bhi Tu Darbar Mein Hai Dilwata
Ly Munafiq Tery Chehry Sy Utarti Hai Naqaab
Jis Ka Munkir Hai Woh Quran Tera Ly Ga Hisab

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zamzam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Is Shaqaawat Py Bhi Hum Haary Nahi Jeet Gaye
Naam Azanon Mein Tumhary Nahi Hum Jeet Gaye
Kya Yeh Qudrat Ky Ishary Nahi Hum Jeet Gaye
Yak Ba Yak Fatah E Mubeen Sab Ko Nazar Aany Lagi
Marhaba Syed E Sajjad Sada Chaany Lagi

Boly Phir Abid E Beemar Yeh Izzat Dekhi
Dekhi Ay Takht E Sitamgaar Yeh Izzat Dekhi
Phir Gaya Tujh Sy Yeh Darbar Yeh Izzat Dekhi
Jis Ka Hami Ho Khuda Kon Usy Zillat Dy
Izzaten Us Ki Hain Allah Jisy Izzat Dy

Haye Hussaina Haye Hussaina

Utry Mimbar Sy To Baba Ky Katy Sar Ny Kaha
Marhaba Ay Mery Sajjad Ghareeb E Zehra
Mojza Sarwar O Rehan Falak Ny Dekh
Ky Khutba E Zainab O Sajjad Ny Woh Kaam Kiya
Hashr Tak Zikr E Hussain Ibne Ali Aam Kiya

Haye Hussaina Haye Hussaina

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply