Reciter: Tejani Brothers

Bazar-e-Shaam

Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

Kotho(n) pe tamashayi haatho(n) me liye patthar
Bacho(n) ke badan zakhmi sajjad ka zakhmi sar
Shabbir ke baazu
Dekho mere aansu
Abbas chale aawo
Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

Kistarha se nana ki ummat ne sataya hai
Zalim ne meraa parda neze se utara hai
Me rehgayi tanha
Haste rahe adaa
Abbas chale aawo
Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

Aada ne meri khatir bazaar sajaye hai(n)
Pabande rasan humko darbar me laaye hai(n)
Bazu me rasan hai
Majbur bahen hai
Abbas chale aawo
Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

Wada wo wafayi ki, kistarha nibhayi hai
Bazar me wo sadme, kistarha uthayi hai
Wo habsh ki malka
Fizza meri amma
Abbas chale aawo
Ya Makhduma Ya Fizza

Parde ke muhafiz me ab tujhko bulati hu(n)
Kya bhul gaye wada, ab aate nahi ho kyu(n)
Duniya ke madadgaar
Ayi sare bazaar
Abbas chale aawo
Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

Bimar mera abid, bazar me jab ayaa
Shaitano(n) ke narghe me, rota huwa jataa tha

maa behne khule sar
har mor pe patthar
Abbas chale aawo
Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

Chehre ko mere bhayya, balo(n) se chhupayi hu(n)
Kistarha se dekhoge, darbar me aayi hu(n)
Neze se tera sar
Girta hai zami(n) par
Abbas chale aawo
Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

Ye kaisi aseeri hai jo khatm nahi hoti
Darbar ke dukh jhele zinda(n) hai abhi baqi
Koi nahi pursa(n)
Hu(n) besaro(n) saama(n)
Abbas chale aawo
Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

“Rehan” wo shehzadi jo saaniye zehra thi
Darbare yazidi me jab ban ke ali boli
Darbar pukara
Ay fatahe dariya
Abbas chale aawo
Haaye shaam ka majma Adaa ka hai nargha Abbas chale aawo

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply