Reciter: Farhan Ali Waris
Chand Muharram Ka Nazar Aa Gaya
Cha Gai Gham Ki Faza
Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Arsh Say Aansoo Bahanay Aa Gai Hain Fatima

Zaib E Tan Ahl E Aza Nay Kar Liye Kalay Libas
Hath Hain Seenon Py Aansoo Ankh Mein Chehray Udaas
Hai Juloos E Gham Kaheen Par Aur Kahin Majlis Bapa
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Arsh Say Aansoo Bahanay Aa Gai Hain Fatima
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Nasb Karti Hain Aza Khanay Kaneezan E Batool
Hath Mein Patka Alam Ka Lab Py Noha Dil Malool
Alqama Ankhon Say Jari Lab Py Haye Karbala
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Arsh Say Aansoo Bahanay Aa Gai Hain Fatima
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Daikh Kar Mah E Aza Ko Maan Nay Bachon Say Kaha
Aao Main Tum Ko Bataun Kya Hai Tehzeeb E Aza
Ba Wuzoo Kar Hi Parhna Soz Noha Marsiya
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Arsh Say Aansoo Bahanay Aa Gai Hain Fatima
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Yeh Azadari Chali Hai Sayed E Sajjad Say
Zakiri Ki Ibtida Hai Zainab E Nashad Say
Pairawi Sajjad Ki Hai Bairhian Shal E Aza
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Arsh Say Aansoo Bahanay Aa Gai Hain Fatima
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Ban Ky Saqqa E Sakina Tifl Aur Peer O Jawan
Sayedon Ky Ghar Py Ja Kay Pursa Detay Hain Wahan
Yeh Wohi Din Hain Keh Jis Mein Aap Ka Ghar Lutt Gaya
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Arsh Say Aansoo Bahanay Aa Gai Hain Fatima
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Taziye Jhoolay Sabeelen Nisbat E Shabbir Hai
Yad Mein Ek Bey Watan Key Halqa E Zanjeer Hai
Apnay Hi Khoon Mein Naha Kay Kehtay Hain Khooni Qaba
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Arsh Say Aansoo Bahanay Aa Gai Hain Fatima
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Aaj Har Dill Mein Basa Hai Tera Hi Gham Ya Hussain
Ghar Muslim Bhi Manatay Hain Muharram Ya Hussain
Ek Teray Gham Nay Hi Mola Sab Ko Yakja Kar Diya
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Arsh Say Aansoo Bahanay Aa Gai Hain Fatima
Agaya Mah E Moharram Bich Gaya Farsh E Aza
Char Soo Farhan O Mazhar Momino Ka Qatl E Aam
Aik Pal Ko Ro Paya Kya Muharram Ka Nizam
Bhool Jatay Hain Yeh Keh Kar Apnay Gham Ahl E Aza