Reciter: Farhan Ali Waris
Ek Shor Hua Barpa Sadaat Ky Matam Say
Sar Bachi Nay Takraya Abbas Ky Parcham Say
Ghash Khanay Lagiin Zainab Lachar Huiin Gham Say
Bey Hosh Hui Madar Hai Baap Ky Hathon Par
Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aya Hai
Akbar Ka Janaza
Bey Hosh Huiin Madar Hai Baap Ky Hathon Par Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aaya Hai Akbar Ka Janaza
Hum Shakal E Payambar Ka Gham Aaj Mila Kaisa
Lagta Hai Safar Yeh Hai Duniya Say Muhammad Ka
Fizza Nay Kiya Noha Kulsoom Nay Sar Peeta
Bey Hosh Huiin Madar Hai Baap Ky Hathon Par Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aaya Hai Akbar Ka Janaza
Atthaara Baras Pala Jis Lal Ko Zainab Nay
Us Shair Ki Furqat Nay Dil Chaak Kiya Aisay
Bhaiya Ko Kabhi Daikhay Poshak Kabhi Daikhay
Bey Hosh Huiin Madar Hai Baap Ky Hathon Par Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aaya Hai Akbar Ka Janaza
Kya Socha Tha Is Dill Nay Faryad Hai Zainab Ki
Mannat Bhi Barhaye Gi Armaan Nikalay Gi
Furqat Ki Sinaan Lekin Ab Jaan Nikalay Gi
Bey Hosh Huiin Madar Hai Baap Ky Hathon Par Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aaya Hai Akbar Ka Janaza
Sar Peeta Sakina Nay Aur Bayn Kiye Aisay
Main Naig Na Mangun Gi Yeh Wada Raha Tum Say
Kya Hal Kiya Sab Ka Ay Bhai Teray Gham Nay
Bey Hosh Huiin Madar Hai Baap Ky Hathon Par Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aaya Hai Akbar Ka Janaza
Acha Hi Hua Ghar Say Sath Aai Nahi Sughra
Woh Daikh Nahi Patiin Jo Haal Hai Kunbay Ka
Maloom Nahi Us Ko Kis Hal Mein Hai Bhaiya
Bey Hosh Huiin Madar Hai Baap Ky Hathon Par Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aaya Hai Akbar Ka Janaza
Toofan Hai Ashkon Ka Sadaat Ky Khaimon Mein
Kiun Hashr Na Ho Barpa Sadaat Ky Khaimon Mein
Kya Laye Shah E Wala Sadaat Ky Khaimon Mein
Bey Hosh Huiin Madar Hai Baap Ky Hathon Par Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aaya Hai Akbar Ka Janaza
Farhan Yeh Kehta Hai Dill Thamay Huye Ro Kar
Akbar Ky Masayeb Tum Likh Saktay Nahi Mazhar
Bas Khatm Karo Noha Qirtaas Py Yeh Likh Kar
Bey Hosh Huiin Madar Hai Baap Ky Hathon Par Akbar Ka Janaza
Khaimay Mein Aaya Hai Akbar Ka Janaza