Reciter: Farhan Ali Waris
Haye Zainab Haye Zainab
Haye Zainab Haye Madina
Aray Logo Ab Khak Urhao
Pardais Say Lut Kar Aaya
Shabbir Ka Kunba Sara
Aray Logo Ab Khak Urhao
Han Jo Mera Hussain Tha Logo
Jo Yasrab Ka Tha Ujala
Pardais Bula Kar Us Ko
Aadaa Nay Mar Hi Dala
Khaimay Say Main Chillai
Pyasa Hai Mera Bhai
Aray Logo Ab Khak Urhao
Abad Kabhi Hota Tha
Ab Hai Veeran Madina
Na Main Asghar Ko Lai
Na Aai Sath Sakina
Ek Dasht E Bala Ko Bhaya
Ek Nay Hai Sham Basay
Aray Logo Ab Khak Urhao
Lo Akbar Ki Bhi Sun Lo
Us Nay Taqdeer Rula Di
Shabbir Kay Hath Pay Us Nay
Kar Li Hai Maot Say Shadi
Us Ki Baten Howen Gi
Sab Ki Bahnen Rowen Gi
Aray Logo Ab Khak Urhao
Us Waqt Ghazab Mein Aai
Kehtay Hain Aap Kareemi
Jab Khak Aur Khoon Mein Tarhpi
Qasim Ki Pak Yateemi
Kuch Shah Khaimon Mein Laye
Kuch Ab Tak Dhund Na Paye
Aray Logo Ab Khak Urhao
Us Dasht Mein Koofi Shami
Kehtay Thay Kon Muhammad
Shabbir Pay Sadqa Kar Kay
Bhaijay Hain Aon Muhammad
Na Main Ab Tak Soi Hun
Na Bachon Ko Roi Hun
Aray Logo Ab Khak Urhao
Abbas Kay Do Hathon Mein
Shabbir Ka Zor Tha Sara
Abbas Ky Hi Sadqay Mein
Chadar Ka Daor Tha Sara
Jo Khak Py Aan Gira Tha
Dar Asal Mera Parda Tha
Aray Logo Ab Khak Urhao
Ab Duniya Mein Rehnay Ki
Koi Tadbeer Nahi Hai
Samjho To Maot Yehi Hai
Main Hun Shabbir Nahi Hai
Main Rishta Jorhnay Aai
Sajjad Ko Chorhnay Aai
Aray Logo Ab Khak Urhao
Shaukat Farhan Bata Do
Sab Gham Ky Bab Suna Do
Zainab Chillai Mujh Ko
Bas Maan Ki Qabar Dikha Do
Kab Shehar Mein Reh Paun Gi
Main Sham Chali Jaun Gi
Aray Logo Ab Khak Urhao