Reciter: Nadeem Sarwar

Watan Mein Ahl E Haram Ka Luta Qafila Pahuncha
Basheer Karta Tha Sar Apna Peet Kar Noha

Madinay Walon Nabi Ka Ujarh Gaya Kunba
Faqat Hai Mardon Mein Baqi Janab E Zain Ul Ibaa

Nabi Ky Rozay Pay Woh Sab Say Pehlay Jayen Gay
Wahin Py Hal E Safar Apna Woh Sunayen Gay

Madinay Walon Nay Jis Dam Suni Yeh Gham Ki Khabar
Buka O Seena Zani Say Bapa Hau Mehshar

Asa Sambhalay Huye Aik Bibi Peeti Thi Sar
Nabi Ky Rozay Pay Jati Thi Kehti Haye Padar

Qareeb Naaqon Pay Pahunchi Jo Fatima Sughra
To Us Nay Nala O Shaiwan Mein Apna Naam Suna

Ay Fatima Sughra Ghar Lutt Gaya Beta

Kya Dhundti Ho Hal Pareeshan Dulari
Baba Ki Teray Aai Ni Phir Say Sawari
Bhaiya Ali Akbar Bhi Tera Aaya Na Pyari
So Bar Phuphi Ho Teri Mazloomi Py Wari
Main Deti Hun Pursa Ay Fatima Sughra

Main Tujh Ko Sunati Hun Woh Sab Hal Safar Ka
Pardais Mein Kis Tarha Luta Gulshan E Zehra
Sar Nangay Gaya Kis Tarah Bazaron Mein Kunba
Darbar Sitam Gar Ka Aur Qaid Ka Qissa
Sun Ay Meri Dukhiya Ay Fatima Sughra

Jis Waqt Hua Barchi Say Tukrhay Dil E Akbar
Ankhon Mein Basarat Na Rahi Shah Ky Dilbar
Lashay Ko Uthanay Gaye Is Hal Mein Sarwar
Girtay Thay Har Ek Lash Py Akbar Ki Samajh Kar
Milta Tha Na Lasha Ay Fatima Sughra

Shabbir Nay Jab Lasha E Farzand Ko Paya
Khainchi Jo Sinaan Sath Kalaija Nikal Aya
Mayyat Ko Jawan Baitay Ki Phir Jhuk Ky Uthaya
Laa Kar Usay Maidan Say Khaimay Mein Litaya
Ek Hashr Tha Barpa Ay Fatima Sughra

Tu Dhundti Hai Jis Ko Har Ek Goud Mein Dill Geer
Chay Maah Ky Asghar Ki Nahi Thi Koi Tafseeer
Mara Bin E Kahil Nay Tery Bhai Ko Ek Teer
Khoon Munh Py Ugal Kar Hua Bey Jan Woh Bey Sheer
Khali Hua Jhoola Ay Fatima Sughra

Shadi Hui Qasim Ki Magar Ras Na Aya
Ek Rat Suhagan Rahi Bewa Hui Kubra
Pamal Kiya Zalimon Nay Dulha Ka Lasha
Maqtal Mein Tan E Jan E Hasan Bikhra Parha Tha
In Ankhon Nay Daikha Ay Fatima Sughra

Lab Tashnagi Bachon Ki Jo Patay Thay Nahi Chain
Aati Thi Sadaye Al Atash Aur Kabhi Bayn
Jab Had Say Siwa Daikha Jo Atfaal Ko Bay Chain
Pani Gaya Bharnay Pisar E Sayed E Konain
Mara Gaya Saqqa Ay Fatima Sughra

Kam Sin Bhi Thay Pyasay Bhi Thay Goudon Mein Dularay
Lekin Na Gaye Larhtay Woh Dariya Kay Kinaray
Kuch Gham Nahi Jo Aon O Muhammad Gaye Maaray
Pehlay Hi Thay Woh Bhai Ky Sadqay Mein Utaray
Kya Zikr Ho Un Ka Ay Fatima Sughra

Baad Is Ky Ayaan Karbobala Mein Hua Mehshar
Shabbir Ki Gardan Pay Chala Zulm Ka Khanjar
Khaimay Bhi Jalaye Gaye Aur Chin Gaii Chadar
Na Mehramon Ka Majma Tha Aur Hum Thay Khulay Sar
Har Lamha Thi Eezaa Ay Fatima Sughra

Bachon Ky Galay Bazu Hamaray Gaye Bandhay
Kuch Oont Liye Itnay Mein Ahdaa Wahan Aaye
Un Naaqon Py Bithlaya Na Thay Jin Pay Kajaaway
Thi Giarah Muharram Jo Chalay Karbobala Say
Din Rat Safar Tha Ay Fatima Sughra

Kis Tarah Sunaun Main Safar Ka Tujhay Ehwaal
Chehron Ko Chupaye Huye Thay Bibiyon Ky Baal
Is Jabr O Tashadud Ky Safar Say Tha Bura Haal
Kuch Jism Ky Hisson Say Juda Ho Gai Thi Khaal
Woh Daikhay Gi Beta Ay Fatima Sughra

Sab Bibiyon Kay Hath Pas E Pusht Bandhay Thay
Maaon Kay Bajaye Thay Pisar Maaon Ko Pakrhay
Raftar Ki Taizi Say Sambhal Paye Na Bachay
Choda Meray Masoom Gaye Naaqon Say Kuchlay
Yeh Taza Alam Tha Ay Fatima Sughra

Darbar E Yazeedi Mein Gaye Phir Hamen Lay Kar
Bithlaye Thay Waan Kursi Nasheen Saat So Laa Kar
Jakrhay Huye Rassi Say Thay Hum Aur Khulay Sar
Phat Jata Hai Dill Karti Hun Jab Yad Woh Manzar
Kya Waqt Kathan Tha Ay Fatima Sughra

Darbar Say Lay Ja Ky Rakha Qaid E Sitam Mein
Paya Na Sukoon Waan Bhi Izafa Hua Gham Mein
Ghut Ghut Ky Sakina Mari Zindan E Sitam Mein
Ek Bar Qayamat Hui Phir Ahl E Haram Mein
Lasha Bhi Na Utha Ay Fatima Sughra

Zindan Hi Mein Nanhi Si Qabar Aik Banai
Dafna Di Basad Jabr Wahan Bano Ki Jaai
Hum Sab Ko Diya Zalimon Nay Hukm E Rehai
Mar Kar Bhi Rihai Na Mayassar Usay Aai
Woh Reh Gai Tanha Ay Fatima Sughra

Zindan Ky Darwazay Pay Jab Aai Amari
Sar Peet Ky Yeh Bano E Nashad Pukari
Bar Aai Tamanna E Dili Ab Teri Pyari
Utho Chalo Ghar Jatay Hain Ay Dard Ki Mari
Shak Hota Tha Seena Ay Fatima Sughra

Maan Deti Rahi Peet Ky Sar Apna Duhai
Thi Shaak Bahut Bibiyon Ky Dill Py Judai
Lekin Hui Marqad Say Sakina Ky Judai
Phir Sham Ky Zindan Say Karbobala Aai
Phat’ta Tha Kalaija Ay Fatima Sughra

Jab Bibiyon Ko Ganj E Shaheedan Nazar Aaya
Naqay Say Har Ek Bibi Nay Apnay Ko Giraya
Nazron Mein Tha Ashoor Ka Manzar Jo Samaya
Bas Daikhtay Hi Munh Say Kalaija Nikal Aaya
Har Lab Py Tha Noha Ay Fatima Sughra

Sajjad Nay Dafna Diye Jab Lashay Bahattar
Ansar O Azeezon Ka Kiya Chehlum E Asghar
Abbas Ka Qasim Ka Kiya Chehlum E Akbar
Us Alam E Ghurbat Mein Kiya Chehlum E Sarwar
Kuch Pas Nahi Tha Ay Fatima Sughra

Sughra Nay Suni Zainab E Muztar Say Yeh Roodad
Yaara Na Raha Zabt Ka Ghash Ho Gai Nashad
Us Waqt Ali Ahl E Haram Nay Jo Ki Faryad
Hosh Apnay Ganwa Baithay Wahan Jitnay Thay Ahbaab
Sab Kartay Thay Nala Ay Fatima Sughra

Kohram Tha Barpa Ay Fatima Sughra

Phat’ta Tha Kalaija Ay Fatima Sughra

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply