Reciter: Nadeem Sarwar
Rasan Mein Galay Barah Aur Barehna Sar
Jab Aye Sham Kay Darbar Mein Dareeda Jigar
Parhi Sakina Pay Nagaah Us Shaqi Ki Nazar
Yazeed Naam Tha Jis Ka Sajaye Tha Darbar
Liye Tha Goud Mein Dukhtar Ko Apni Woh Makkar
Woh Apni Bachi Kay Balon Mein Hath Phairta Tha
Laga Kay Seenay Say Bachi Ko Pyar Say Daikha
…. Ky Bali Sakina Say Woh Shaqi Bola
Tujhay Bhi Baba Tera Aisay Pyar Karta Tha
Kaha Sakina Nay Main Shah E Deen Ki Pyari Hun
Tabah Hal Hun Is Dam Dukhon Ki Mari Hun
Tum Meray Baba Ka Gandi Zubaan Say Naam Na Lay
Ghuroor Itna Na Kar Bandh Ky Rasan Mein Hamen
Main Kitni Pyari Thi Baba Ki Kya Bataun Tujhay
Main Bhool Sakti Nahi Apny Babab Ko … Kay
Main Jab Bhi Roti Thi Baba Mujhay Manata Tha
Bana Kay Hathon Ko Jhoola Mujhay Jhulata Tha
Han Tha Mera Baba Meray Liye Zinda
Han Tha Mera Baba
Main Seenay Pay Soti Thi
Taskeen Si Hoti Thi
Maan Bun Ky Mujhay Jis Nay Aghosh Mein Pala Tha
Han Tha Mera Baba
Kya Poochta Hai Mujh Say
Khud Pooch Lay Baba Say
Sar Tasht Mein Rakha Hai Woh Khud Hi Bata Day Ga
Han Tha Mera Baba
Main Kitni Dulari Hun
Go Dard Ki Mari Hun
Gar In Ko Bulaun Main Sar Goud Mein Aye Ga
Han Tha Mera Baba
Kiun Mujh Ko Rulata Hai
Aisa Kahin Hota Hai
Bin Baap Ki Bachi Ko Daitay Hain Dilasa
Han Tha Mera Baba
Teri Bhi To Beti Hai
Goudi Mein Jo Baithi Hai
Tu Daikh Usay Zalim Phir Daikh Mera Chehra
Han Tha Mera Baba
Abbas Agar Hotay
Kunbay Ko Meray Kehtay
Tu Bandh Ky Rassi Mein Darbar Mein Lata
Han Tha Mera Baba
Yeh Kurta Phata Mera
Jo Khoon Mein Hai Dooba
Abbas Jo Daikhen Gay Ek Hashr Uthay Ga
Han Tha Mera Baba
Chalta Na Agar Khanjar
Shabbir Ki Gardan Par
Hum Qaid Nahi Hotay Akbar Nah Sinaan Khata
Han Tha Mera Baba
Yeh Khak Aseeri Ki
Chehron Pay Nahi Hoti
Baba Mera Sajday Mein Gar Sar Na Katata
Han Tha Mera Baba
Rehan Qalam Mera
Likh Kar Yeh Bayan Roya
Kaghaz Py Giray Aansoo Dill Dard Say Tarhpa
Han Tha Mera Baba