Reciter: Tejani Brothers

Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar
Sajad ka woh imteha(n)

Hatho(n) me rassiya(n) aur pawo(n) me beriya(n)
Gir gir ke uth raha tha bimar natawa(n)
Gham-o-ranj se, jigar chaak tha
Lahu se bhara, woh poshaak tha
Gira(n) tok ka tha ghardan pe haar
Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar
Sajad ka woh imteha(n)

Kistarha lut gaya ye, bekas ka qafla
Beparda binte haider ne roke di sada,
Mera nawjawa(n), mera bezuba(n),
Mera bawafa, mera bhayi jaa(n)
Abhi sab hai neze pe sawaar
Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar
Sajad ka woh imteha(n)

Ankho(n) se khu(n) bahaya, ghayrat ke naam me
Beparda maye(n) behne bazaar shaam me
Tamashayi yu(n), rulaate raha
Sitam par sitam, woh dhaate rahe
Thi charo(n) taraf se pathhar ke waar
Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar
Sajad ka woh imteha(n)

Seene pe sone waali, girti thi khaak par
Bachi pe raham koi, khaaya nahi shimar
Rida chin gayi, chine baaliyaa(n)
Tamache lage, kabhi seyliyaa(n)
Uthaayi sitam, woh dil par hazaar
Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar
Sajad ka woh imteha(n)

Tishnalabi ka aalam, bachhi thi nawhaghar
Pani baha ke zalim, jalti zamin par
Ye hass kar kaha, woh ammu tera,
Kidher kho gaya, thi lab pe bukaa
Sakina ki ghazi baar baar.
Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar

Sajad ka woh imteha(n)

Bola yazid hass kar, ay binte murtaza,
Ab aasra tumhara, koyi nahi raha
To baalo(n) se mu(n), chupa kar kahi
Hai khun-e-Ali, se hu(n) mei bani
Zara aazma, ke dekh eik baar
Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar
Sajad ka woh imteha(n)

Yasrab me aagaya jab, lut kar ye qafla
Rokar zaeef mola, sar pit ke kaha
Abhi yaad hai, woh bazaar-e-shaam
wo zindan-e-shaam, Wo darbaar-e-shaam
Phire nange sar haaye sogwaar
Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar
Sajad ka woh imteha(n)

Sajad ka azaa ruksakta nahi kabhi,
Duniya ko ab “Tejani”, payghaam do yahi,
rukaane ki jo, yu(n) koshish kare
azaa-e-hussain, unhi ke sare
pe lanat hamari beshumaar
Sajad ka woh imteha(n)
Bimar musafir hay aur sham ka darbar
Sajad ka woh imteha(n)

Bimar musafir hay aur sham ka darbar

Sajad ka woh imteha(n)

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply