Reciter: Farhan Ali Waris
Ghar Say Chalay Hussain To Sughra Nay Di Sada
Kiun Ghar Mein Chorh Ky Sab Jatay Hain Baba
Sughra Akeli Ghar Mein Jeenay Na Paye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aye Gi
Kunbay Ki Har Ek Bat Mujhay Khoon Rulaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi
Baba Meray Baba
Beemar Say Kisi Ko Muhabbat Nahi Hai Kya
Kiun Ja Rahay Hain Aap Mujhay Chorh Ky Tanha
Kaisay Jiye Gi Aap Ky Bin Fatima Sughra
Deewar Ko Takay Gi Kabhi Darr Py Jaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi
Amman Meri Amman
Duniya Mein Betiyon Ki Faqat Maan Hai Razdaan
Aulad Par To Maan Hai Hamesha Say Sayebaan
Aulad Bey Amaan Hai Agar Chorh Jaye Maan
Beemar Jab Kisi Ko Galay Say Lagaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi
Bhaiya Ali Akbar
Rukhsat Tumharay Sath Hi Ho Jayen Gi Khushiyan
Khanjar Banen Gi Qalb Py Tanhai Ki Ghariyan
Behnon Ky Liye Bhai To Hotay Hain Misl E Jaan
Awaz Jab Azaan Ki Kaanon Mein Aaye Gi
Aye Gi Bahut Yad Aye Gi
Sakina Meri Behna
Baten Woh Karna Khana Teray Sath Mein Khana
Woh Khailna Woh Roothna Phir Maan Bhi Jana
Ek Doosray Ky Dard Mein Phir Kaam Bhi Aana
Yaadon Kay Saharay Behan Jee Na Paye Gi
Aye Gi Bahut Yad Aye Gi
Ammu Meray Ammun
Ghar Ky Har Aik Fard Ki Dharas Hain Aap Hi
Baba Ky Baad Aap Say Barh Kar Nahi Koi
Yad Ayen Gi Muhabbaten Mujh Ko Jo Aap Ki
Ammu Wafa Ki Baat Mera Dill Dukhaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi
Amman Phuphi Amman
Gar Main Charagh Lay Kar Jaun Gali Gali
Par Aisay Shahzaday Kahin Bhi Na Paun Gi
Qasim Say Kam Nahi Hain Aon O Muhammad Bhi
Jab Bhi Nigah Un Kay Hujron Pay Jaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi
Amman Meri Amman
Duniya Mein Betiyon Ki Faqat Maan Hai Raazdaan
Aulad Par To Maan Hai Hamesha Say Sayebaan
Aulad Bey Amaan Hai Agar Chorh Jaye Maan
Beemar Jab Kisi Ko Galay Say Lagaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi
Bhaiya Meray Sajjad
Main Muztarib Rahun Gi Dill Afgaar Aap Ki
Maghmoom Main Rahun Gi Azadar Ap Ki
Beemar Yeh Behan Hai Beemar Aap Bhi
Jab Bhi Namaz E Shab Ka Musalla Bichaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi
Matam Karo Matam
Farhan Marsiya Hai Sughra Ki Yeh Sada
Jo Mazhar Abidi Nay Qirtaas Par Likha
Har Lafz Meray Sath Yun Karnay Laga Buka
Kunbay Ki Har Ek Baat Mujhay Khoon Rulaye Gi
Aaye Gi Bahut Yaad Aaye Gi