Reciter: Zaidi Brothers

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Yeh Ummat Hai Khoon Ki Pyasi
Aur Mujhy Wahda Hai Nibhana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Kho Gaye Ban Mein Saray Zamanay
Ab Kis Ko Shabbir Pukaray
Maary Gaye Sab Moonis O Yaawar
Ab Hai Mujhy Bhi Sar Ko Kataana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Waqt Yeh Kaisa Aya Hum Par
Maidan Mein Jitnay Hain Sitamgar
Thamay Huye Hain Teer Aur Naizay
Bas Hum Hain Un Sab Ka Nishana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Nehr Py Jab Abbas Gira Tha
Us Ki Sada Thi Aaiye Aaqa
Hath Katy Hain Uth Nahi Sakta
Mushkil Hai Abbas Ka Aana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Phatny Laga Hai Dil Ro Ro Kar
Maaray Gaye Pyasay Ali Asghar
Bhool Na Paya Mein Zaalim Ka
Nanhy Galy Par Teer Chalana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Saamny Tha Akbar Ka Lasha
Hum Py Zaeefi Ka Aalam Tha
Kaisy Kahun Tha Mushkil Kitna
Akbar Ki Maiyat Ko Uthana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Aon O Muhammad Maaray Gaye Hain
Aur Qasim Paamal Huye Hain
Haye Ghareebi Kehty Hain Kis Ko
Hai Shabbir Ny Ab Yeh Jana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Kehty Thy Zeeshan Yeh Sarwar
Halq Py Hai Ab Shimr Ka Khanjar
Sham E Ghareeban Aanay Ko Hai
Lut Jaye Ga Saara Gharaana
Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

ya Rasool Allah Ay Mere Nana
ye Rasool Allah Ay Mere Nana

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply