Reciter: Ahmed Raza Nasiri

Sayeda Tahira Raziya Marziya

Likhun Bhala Main Kaisay Teri Shan Fatima
Jab Madha Khuwan Hai Khud Tera Rehman Fatima

Likhun Bhala Main Kaisay Teri Shan Fatima

Pehchan Betiyon Ki To Hoti Hai Baap Say
Lekin Hai Apnay Baap Ki Pehchan Fatima

Likhun Bhala Main Kaisay Teri Shan Fatima

Jannat Mein Bhaijna Hai Kisay Aur Kisay Nahi
Kartay Hain Kaam Yeh Teray Darbaan Fatima

Likhun Bhala Main Kaisay Teri Shan Fatima

Mainay Mubahilay Ko Parha Yeh Pata Chala
Behtar Thay Kalma Goyon Say Najraan Fatima

Likhun Bhala Main Kaisay Teri Shan Fatima

Ismat Pay Ek Kitab Likhun Ga Main Jab Kabhi
Rakhun Ga Us Kitab Ka Unwaan Fatima

Likhun Bhala Main Kaisay Teri Shan Fatima

Jaa Kar Diya Jalaun Baqaiyah Mein Main Kabhi
Hai Bas Hasan Kay Dill Ka Yeh Armaan Fatima

Likhun Bhala Main Kaisay Teri Shan Fatima

Leave a Reply