Reciter: Nadeem Sarwar
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
Ek Yehi Bat Sajjad Ko Kha Gai
Sar Khulay Haye Zainab Kahan Aa Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
Taoq Ky Bojh Say Sar Nahi Tha Jhuka
Wajha E Sharmindgi Ek Yehi Dard Tha
Majma E Ashqia Mein Phuphi Aa Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
Tap Raha Tha Badan Aur Zanjeer Bhi
Bey Rida Maan Phuphi Aur Hamsheer Bhi
Sochtay Thay Na Kiun Kar Qaza Aa Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
Bibiyon Kay Galay Reesman Say Bandhay
Gard Alood Balon Say Chehray Chupay
Sham Tak Kis Tarah Bint E Zehra Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
Warison Kay Janazon Pay Roye Nahi
Asr E Ashoor Ky Bad Soye Nahi
Neend Rukhsat Hui Ankh Pathra Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
Ek To Zindaan Us Par Andhaira Bahut
Aur Faryad Karnay Pay Pehra Bahut
Maot Bhi Is Andhairay Say Ghabra Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
So Gai Qaid Khanay Mein Woh Ghamzada
Jis Ka Sham E Ghareeban Mein Daman Jala
Qaid Khanay Ki Us Ko Zameen Kha Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
Kaisay Dafnayen Jakrhay Hain Zanjeer Mein
Dard Likhay Hain Kya Sirf Taqdeer Mein
Dafn Karnay Sakina Ko Maan Aa Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam
Dard Rehan Sajjad Kay Main Likhun
Aama E Jaan Say Meray Tapakta Hai Khoon
Rooh E Qirtaas Is Gham Say Tharra Gai
Haye Bazar E Sham Mera Bey Kas Imam