Reciter: Ahmed Raza Nasiri

Haye Zahra Haye Mazloom Hussain Haye Mazloom Hussain

Bete Pe Apne Youn Na Koi Maa Buka Kare

Bete Pe Apne Youn Na Koi Maa Buka Kare
Jaisay Buka Hussain Pay Maan Fatima Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Jaisay Bawaqt E Asar Yeh Zehra Nay Di Sada
Pyasa Hai Teen Roz Ka Khanjar Nahi Chala
Aisay Nah Maan Kabhi Bhi Koi Iltija Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Jab Fatima Kay Laal Ka Sar Tan Say Kat Gaya
Is Kay Siwa To Koi Bhi Chara Nahi Raha
Chehray Pay Khoon Mal Kay Aza Sayeda Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Is Ko Kafan Milay Na Milay Bas Abhi Isay
Mitti Urha Kay Dasht Say Filhal Dhaank Day
Gar Kaam Kar Sakay To Mera Yeh Hawa Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Teeron Pay Apnay Laal Ko Maqtal Mein Daikhna
Hathon Say Dill Kay Chain Kay Tukrhay Samaitna
Zehra Ka Hosla Hai Koi Aur Kya Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Lasha Kisi Kay Laal Ka Bey Haal Yun Na Ho
Jaisay Hua Hussain Ka Pamal Yun Na Ho
Aisa Sitam Sahay Na Koi Maan Khuda Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Aaza Simat Kay Is Kay Bas Ek Bar Tan Banen
Seenay Say Main Lagaun Inhen Aur Yeh Maan Kahen
Yeh Bayn Na Kisi Ki Kabhi Maamta Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Betay Kay Sath Dasht Mein Maan Khoon Mein Hai Tarr
Ghazi Ki Lash Par Kabhi Akbar Ki Lash Par
Jaisay Giri Batool Koi Na Gira Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Yasir Kharhi Hain Aaj Bhi Maqtal Mein Fatima
Ahl E Aza Say Aaj Bhi Karti Hain Iltija
Koi To Meray Laal Ka Pursa Adaa Karay

Betay Py Apnay Yun Na Koi Maan Buka Karay

Leave a Reply