Reciter: Mir Hasan Mir
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Abbas Ke Parcham Ki Hawa Kam Kary Gi
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Aksar Yeh Ali Kehty Thy Ghazi Ko Utha Kar
Zahra Ki Dua Sab Sy Juda Kam Kary Gi
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Ab Chand Ka Kya Kam Raha Ghar Mein Ali Ke
Maah E Bani Hashim Ki Ziya Kam Kary Gi
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Khud Den Gy Shahenshah E Wafa Us Ko Salami
Kuch Is Tarah Fizza Ki Wafa Kam Kary Gi
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Shabbir Ke Rozey Sy Kafan Ley Ky Chala Hun
Ab Meri Hifazat Ka Qaza Kam Kary Gi
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Phir Bhi Nahi Utry Ga Khadeeja Tera Qarza
Din Rat Bhi Gar Khalq E Khuda Kam Kary Gi
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Shabbir Ka Sar Hai Yeh Kahin Jhuk Na Hi Sakta
Naizey Ki Ani Par Bhi Ana Kam Kary Gi
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Yeh Haazari E Hazrat Abbas Hai Sajjad
Qismat Se Zyada Yeh Ghiza Kam Kary Gi
Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi