Reciter: Ali Safdar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Talwaron Mein Talwar Hai Abbas Ki Talwar
Jarraron Mein Jarrar Hai Abbas Sa Jarrar
Salaron Mein Salar Hai Abbas Sa Salar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Deedaron Mei Deedar Hai Abbas Ka Deedar
Is Raah Mein Kantay Hain Na Hayel Koi Deewar
Duniya Kay Sataye Huye Sab Bey Kas O Lachar
Abbas Ky Dar Par Chalay Atay Hain Talabgar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Majbooron Ko Mil Jati Hain Is Dar Py Muraden
Haider Ki Sakhawat Yahan Shabbir Ki Yaaden
Duniya Kay Gham O Ranj Say Azad Kara Den
Duniya Ko Batatay Hain Yeh Abbas Kay Zawwar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Haider Ki Sakhawat Kay Nazaray Bhi Yaheen Hain
Zehra Ki Shafa’at Kay Saharay Bhi Yahin Hain
Dariya E Mawaddat Kay Kanaray Bhi Yahin Hain
Abbas Ki Sarkar Hai Shabbir Ki Sarkar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Ay Tishna Labi Pyaas Bujhanay Kay Liye Chal
Jo Dill Mein Tamanna Hai Sunanay Kay Liye Chal
Kosar Kay Liye Khuld Mein Janay Kay Liye Chal
Hami Tera Ho Jaye Ga Abbas Madadgar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Abbas E Alamdar Ky Parcham Ko Uthana
Us Dast E Bureeda Ko Kabhi Bhool Na Jana
Mashkeeza E Bey Aab Pay Ashkon Ko Bahaana
Hai Aaj Bhi In Ashkon Ka Abbas Khareedar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Shabbir Kay Lashkar Ka Alamdar Yehi Hai
Haider Bhi Hai Aur Jafar E Tayyar Yehi Hai
Hairan Karay Jo Sippa Salaar Yehi Hai
Jo Tar E Nazar Ko Bhi Bana Leta Hai Talwar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Ghazi Ka Barha Gham Tha Gham E Mashk E Sakina
Jab Mashk Chidi Maot Ka Tab Aya Paseena
Ab Sar Tha Na Bazu Na Salamat Raha Seena
Duniya Say Gaya Aisay Sakina Tera Gham Khuwar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Mat Poochiye Kis Tarah Say Mara Gaya Ghazi
Bey Dast Gira Ghorhay Say Sajday Mein Namazi
Kuffar Magar Kar Na Sakay Dast Darazi
Ab Taa Ba Abad Royen Gay Ghazi Ko Azadar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Darbaron Mein Darbar Hai Abbas Ka Darbar
Abbas Ka Darbar Abbas Ka Darbar

Urdu Lyrics

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
تلواروں میں تلوار ہے عباس کی تلوار
جراروں میں جرار ہے عباس سا جرار
سالاروں میں سالار ہے عباس سا سالار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

دیداروں میں دیدار ہے عباس کا دیدار
اس راہ میں کانٹے ہیں نہ حائل کوئی دیوار
دنیا کے ستائے ہوئے سب بے کس و لاچار
عباس کے در پر چلے آتے ہیں طلب گار
عباس کا دربار عباس کا دربار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

مجبوروں کو مل جاتی ہیں اس در پے مرادیں
حیدر کی سخاوت یہاں شبیر کی یادیں
دنیا کے غم و رنج سے آزاد کرا دیں
دنیا کو بتاتے ہیں یہ عباس کے زوار
عباس کا دربار عباس کا دربار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

حیدر کی سخاوت کی نظارے بھی یہیں ہیں
زہرا کی شفاعت کی سہارے بھی یہیں ہیں
دریائے مؤدت کی کنارے بھی یہیں ہیں
عباس کی سرکار ہے شبیر کی سرکار
عباس کا دربار عباس کا دربار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

اے تشنہ لبی پیاس بجھانے کے لئے چل
جو دل میں تمنا ہے سنانے کے لئے چل
کوثر کے لئے خلد میں جانے کے لئے چل
حامی تیرا ہو جائے گا عباس مددگار
عباس کا دربار عباس کا دربار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

عباس علمدار کے پرچم کو اٹھانا
اس دست بریدہ کو کبھی بھول نہ جانا
مشکیزہ بے آب پے اشکوں کو بہانا
ہے آج بھی ان اشکوں کا عباس خریدار
عباس کا دربار عباس کا دربار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

شبیر کے لشکر کا علمدار یہی ہے
حیدر بھی ہے اور جعفر طیار یہی ہے
حیران کرے جو سپہ سالار یہی ہے
جو تار نظر کو بھی بنا لیتا ہے تلوار
عباس کا دربار عباس کا دربار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

غازی کا بڑا غم تھا غم مشک سکینہ
جب مشک چھدی موت کا تب آیا پسینہ
اب سر تھا نہ بازو نہ سلامت رہا سینہ
دنیا سے گیا ایسے سکینہ تیرا غم خوار
عباس کا دربار عباس کا دربار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

مت پوچھئے کس طرح سے مارا گیا غازی
بے دست گرا گھوڑے سے سجدے میں نمازی
کفار مکر کر نہ سکے دست درازی
اب تا بہ ابد روئیں گے غازی کو عزادار
عباس کا دربار عباس کا دربار

درباروں میں دربار ہے عباس کا دربار
عباس کا دربار عباس کا دربار

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply