Reciter: Tejani Brothers
Allah, Ighfirli khataee wa dhunoobee
Allah, Ultufbee wastoor li ayoobee
Allah, Wa taqabal miman yashfaooli
Allah, Ighfirli khataee wa dhunoobee
Allah, Ultufbee wastoor li ayoobee
Allah, Wa taqabal miman yashfaooli
Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq
Baba tumhaare baqir, Madar hai umm-e-farwah
Rehmat mei sab se kasrat, Sarkaar mei ho aala
Tum shaam ki siyaahi, ko payrahan banaakar
Har raat mufliso(n) ko, haatho(n) se hai khilaya
Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq
Tumhaari aur nabi ki, ik roz hai wiladat
Aur raah-e-adl-o-haq mei, thi aapki shahadat
Ahmed ki ruh teri, ruh se juri huwi hai
Saare malak pe waajib, hai aapki itaa’at
Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq
Godi hai jinki khaali, awlaad unhe ataa kar
Maqrooz momino ka, jo karz ho ada kar
Hai be khata jo qaydi, dede unhe bashaarat
Karte hai ham tawassul, haatho(n) ko ab utha kar
Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq
Bechayn ye jigar hai, Ham tumse jo juda hai
Yasrab ko tum bulaalo, lab pe yahi dua hai
Aake kare ziyarat, aur ashk ham bahaaye
Tere liye ay maula, ye dil tarap raha hai
Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq
Tumko sata raha tha, ashur ka wo manzar
ik behn ne jo dekha, ik bhayi zeyr-e-khanjar
Pyaara sa uska chehra, dekha tha khun mei tar
Rokar wo gir pari jab, tan se juda huwa sar
Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq
Angur ka gahal jab, mansur tumko bheja
Tab sakht zehr usne, angur mei tha daala
Khaakar laraz raha tha, Maula badan tumhara
Girya kiya uthaakar, Kazim tumhaara lasha
Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq
Baade teri shahadat, duniya mei aaj tak bhi
Zahir tera asar hai, roshan khuda ke raah ki
Dam se tumhaare qayam, iman jaafari ka
Shiyyo(n) ka fakhr tum ho, bole na kyu(n) “Tejani”
Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq