Reciter: Nadeem Sarwar
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Bin Baap Ki Bachi Hai Aur Sham Ka Zindaan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Jis Roz Say Bichri Hai Baba Say Chacha Say
Masooma Nay Ronay Par Khaye Hain Tamanchay
Rassi Ki Aziyat Say Dam Ghut’ta Hai Har Aan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Aaram Say Soti Thi Jo Baap Ky Seenay Par
Zindaan Mein Mila Us Ko Ab Khak Ka Bistar
Rukhsar Bhi Zakhmi Hain Tar Khoon Say Huye Kaan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Zindan Ka Andhera Hai Aur Yaas Ka Pehraa
Is Yaas Ky Alam Mein Abbas Ka Chehra
Yad Ata Hai Reh Reh Ky Woh Hoti Hai Bey Jaan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Zindan Ka Koi Gosha Hota Jo Hawadar
Ghut Ghut Ky Andhairay Mein Woh Marti Na ….
Zindaan Say Rihai Ka Mar Kar Hua Saaman
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Sar Pay Thi Yateema Kay Sehra Ki Parhi Khak
Aur Jism Kay Zakhmon Say Chipki Hui Poshak
Jo Mar Gai Zindaan Mein Us Bachi Kay Qurban
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Kehti Thi Phuphi Amman Ab Ho Gi Rehai
Kya Koi Khabar Meray Ammu Ki Bhi Aai
Lay Jayen Gay Zindaan Say Kab Mujh Ko Chacha Jaan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Ro Ro Ky Woh Kehti Thi Har Waqt Phuphi Say
Jatay Hain Kahan Urh Ky Sar E Sham Parinday
Hum Bhi Kabhi Ghar Jayen Kya Is Ka Hai Imkaan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Kiun Amman Ki Goudi Mein Asghar Nahi Mera
Kya Loota Gaya Amman Masooma Ka Jhoola
Laa Do Meray Bhaiya Ko Mujh Par Karo Ehsaan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Main Wari Gai Amman Baba Say Mila Do
Jis Seenay Pay Soti Thi Phir Us Pay Sula Do
Jeenay Ki Nahi Hun Main Lamhon Ki Hun Mehman
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Ab Bhi Dar E Zindaan Say Ati Hain Sadayen
Baba Mujhay Zindaan Ki Museebat Say Bachayen
Bachi Ki Sada Kya Hai Noha Tera Rehan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman
Bin Baap Ki Bachi Hai Aur Sham Ka Zindaan
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman