Reciter: Hashim Sisters
Haye Haye Abbas
Haye Abbas Haye Abbas
Aik Sar Ka Yun Safar Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Akbar E Mehroo Ho Ya Ho Qasim E Aali Maqam
Baad Marnay Kay Museebat Ho Gai Sab Ki Tamam
Par Mera Abbas Tarhpa Karbala Say Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Aik Sar Ka Yun Safar Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak Karbala Se Sham Tak
Karbala Ka Maarka Hota Raha Zair O Zabar
Tan Kuchal Dala Gaya Sham E Ghareeban Mein Udhar
Sar Idhar Ghorhon Nay Kuchla Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Aik Sar Ka Yun Safar Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak Karbala Se Sham Tak
Noor Detay Ja Rahay Thay Raah Mein Baa Aab O Tab
Saray Sar Naizon Pay Aawaizan Thay Misl E Aftab
Ek Qamar Bas Gehn Mein Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Aik Sar Ka Yun Safar Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak Karbala Se Sham Tak
Mushkilen Ahl E Haram Ki Raah Mein Do Chand Thiin
Shiddat E Ehsas Say Ghazi Ki Ankhen Band Thiin
Khoon Rota Ja Raha Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Aik Sar Ka Yun Safar Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak Karbala Se Sham Tak
Khoon Say Rangeen Tapen Ho Gaiin Sab Dam Badam
Ghorhay Nay Jab Jab Uthaya Raah Mein Apna Qadam
Har Qadam Tha Zakhm E Taza Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Aik Sar Ka Yun Safar Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak Karbala Se Sham Tak
Zainab O Kulsoom Ki Chadar Ka Zamin Main Hi Tha
Haye Kin Ankhon Say Daikhun Bibiyon Ka Sar Khula
Sochta Reh Ja Raha Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Aik Sar Ka Yun Safar Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak Karbala Se Sham Tak
Hashmi Behnon Nay Hai Noha Parha Ehsas Ka
Sar Kahin Hai Tan Kahin Bazu Kahin Abbas Ka
Dafna Woh Ainee Hua Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak
Aik Sar Ka Yun Safar Tha Karbala Se Sham Tak
Karbala Se Sham Tak Karbala Se Sham Tak