Reciter: Mir Hasan Mir
Khuda Ki Pehchan Ban Ke Jab Se Mujhe Taruf Huwa Hasan Ka
Samajh Mein Any Laga Hai Tab Se Mujhe Bhi Kuch Kuch Khuda Hasan Ka
Batool E Azra Ki Goud Mein Woh Nuzool Jab Kar Chuka Hasan Ka
Ali Ke Honton Se Kam Ly Kar Khuda Ny Bosa Liya Hasan Ka
Ali Ke Pehly Hi Wasty Par Khuda Ny Sun Li Jo Bat Meri
To Main Ny Agli Dua Ki Khatir Bacha Liya Wasta Hasan Ka
Abhi Charaghon Ka Silsila To Janab E Mehdi Talak Chaly Ga
Abhi To Zehra Ky Ghar Mein Roshan Hua Hai Pehla Diya Hasan Ka
Laqab Badalny Sy Sham Walon Kabhi Muqaddar Nahi Badalty
Faqeer Khud Ko Ameer Likh Ly Na Ho Ga Hum Martaba Hasan Ka
Yeh Mera Jibreel E Fikar Al Akbar Maqam E Sidra Sy Kya Barhy Ga
Dimagh Chota Shaoor Adna Main Kya Likhun Martaba Hasan Ka
Khuda Ki Pehchan Ban Ke Jab Se Mujhe Taruf Hua Hasan Ka
Samajh Mein Any Laga Hai Tab Se Mujhe Bhi Kuch Kuch Khuda Hasan Ka