Reciter: Farhan Ali Waris

Kisi Nay Aa Kay Madinay Mein Aam Ki Yeh Khabar
Safar Say Aatay Hain Ibne Batool Laot Ky Ghar
Hain Sath Akbar O Abbas Qasim O Asghar
Sawar Shan Say Hain Bibiyan Bhi Oonton Par
Khushi Manao Madinay Mein Aa Rahi Hai Bahar
Watan Mein Laot Kay Atay Hain Sayed E Abrar

Gharon Ko Apnay Sajao Hussain Aatay Hain
Sabeelen Aaj Lagao Hussain Atay Hain
Charagh Ghar Mein Jalao Hussain Atay Hain
Khabar Yeh Sab Ko Sunao Hussain Atay Hain
Woh Aa Rahay Hain Woh Tohfay Bhi Sath Layen Gay
Woh Sab Say Pehlay Mazar E Nabi Py Jayen Gay

Yeh Sun Ky Ghar Say Nikal Aye Mard O Zan Saray
Keh Aa Rahay Hain Khud Aa Kar Rasool Ky Pyaray
Watan Mein Atay Hain Zehra Ki Ankh Ky Taray
Kitab E Haq Ky Madinay Mein Atay Hain Paray
Saheliyon Ny Khabar Di Yeh Ja Ky Sughra Ko
Chal Uth Ky Daikh Ly Sughra Tu Apnay Bhaiya Ko

Pukari Sughra Keh Din Eid Ka Naseeb Hua
Lo Meri Simt Bhi Mayel Mera Tabeeb Hua
Khushi Ka Koi To Lamha Meray Qareeb Hua
Magar Yeh Saniha Sughra Pay Kya Ajeeb Hua
Basheer Khak Urha Kar Sada Yeh Deta Tha
Hussain Maray Gaye Syeda Ka Ghar Ujrha

Madinay Walo Madinay Py Chaa Gai Hai Khizan
Gharon Mein Chain Say Bethey Huye Ho Aaj Kahan
Zameen Karti Hai Matam Falak Hai Mehw E Fughan
Rasool Giriya Kunaan Fatima Hain Ashk Fishan
Maihallah E Bani Hashim Mein Soag Tari Hai
Labon Py Haye Hussaina Ka Wird Jari Hai

Pukari Sughra Yeh Kis Tarah Aai Ho Amman
Kahan Hain Bhai Hamaray Kahan Hain Baba Jan
Phuphi Ky Shanon Py Kiun Hain Rasan Ky Dagh Ayaan
Kahan Hai Asghar E Bey Sheer Aur Sakina Kahan
Chacha Ky Hotay Huye Kis Tarah Yeh Haal Hua
Shaheed Karbobala Mein Ali Ka Laal Hua

Rehan Sughra Ko Ghash Aa Gaya Sambhal Na Saki
Nabi Ky Rozay Say Farhan Yeh Sada Goonji
Lehad Say Nikli Hai Logo Rasool Ki Beti
Chali Mazar E Padar Par Yehi Woh Kehti Hui
Batool Pursay Ko Marqad Mein Aai Hai Baba
Ujarh Gaya Mera Kunba Duhaai Hai Baba

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply