Reciter: Tejani Brothers
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain,
labbayk ya Hussain
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain
Aanch aye na kabhi bhi, is din-e mustufa pe.
Har chiz hi fida hai, zehra pe murtaza pe
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain
Barso se beh raha hai, is qaum ka lahu.
Barpa magar hussain ka, Matam hai ku ba ku
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain
Baahen jhuri huwi hai, shiat ki karbala se.
qawle khudaae paak se Or qawle mustafa se
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain
Naame ali ko dood me, maa ne pilaa diya.
Kurbaniy-e- hussain ka Maqsad bataa diya
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain
Jitnaa bhi ba asr bane, ye waqt ka yazeed.
Majlis bapaa karenge ham Har dor me mazeed
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain
Wo haath hi jalade, Chinega jo alam.
Rokega kon majlis Rokega kon matam
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain
Burhe jawaan hamare, sab shaah ke hai nokar.
Likh denge dastaane Apne lahu ko dekar
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain
Hai aaj ye “Ali Deep” Ddarkar nahi rahega
Mazhab ka mere har ik baccha yahi kahega
Labayk ya Husain, labbayk Ya Hussain