Reciter: Farhan Ali Waris
Fatima Ki Poti Hun Main Hussain Ki Beti
Abbas Ki Bhateeji Hun Main Bali Sakina
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina
Jo Bhi Ata Hai Alam Par Main Dua Deti Hun
Main To Bigrhi Hui Taqdeer Bana Deti Hun
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina
Naam Hai Bali Sakina Hain Sakhi Meray Chacha
Laa Dawa Maangnay Aata Hai Agar Koi Shifa
Us Ko Abbas Kay Parcham Ki Hawa Deti Hun
Main To Bighrhi Hui Taqdeer Bana Deti Hun
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina
Mangnay Aata Hai Gar Koi Alam Par Betay
Apnay Ammun Ky Waseelay Say Khuda Say Keh Kay
Us Ko Sadqa Ali Asghar Ka Dila Deti Hun
Main To Bighrhi Hui Taqdeer Bana Deti Hun
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina
Janti Hun Main Aziyat Ka Siwa Ho Jana
Kitna Mushkil Hai Yun Apnon Say Juda Ho Jana
Bas Yehi Soch Ky Bichrhon Ko Mila Deti Hun
Main To Bighrhi Hui Taqdeer Bana Deti Hun
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina
Baat Yeh Dill Ki Batati Hun Rakho Yaad Isay
Khush Bahut Hoti Hun Main Jab Bhi Kisi Momin Say
Us Ko Ek Beti Main Baa Iznay Khuda Deti Hun
Main To Bighrhi Hui Taqdeer Bana Deti Hun
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina
Mangta Hai Jo Aza Khana Sajanay K Liye
Aisay Momin Ki Dua Sunti Hun Sab Say Pehlay
Ghaibi Asbab Say Main Ghar Bhi Naya Deti Hun
Main To Bighrhi Hui Taqdeer Bana Deti Hun
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina
Log Detay Hain Khuda Ko Jo Waseela Mera
Kartay Hain Betiyon Behnon Ky Naseebon Ki Dua
Keh Ky Ameen Naseebon Ko Jaga Deti Hun
Main To Bighrhi Hui Taqdeer Bana Deti Hun
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina
Meray Baba Ka Azadar Hai Yeh Zill E Raza
Zakir E Bibi Sakina Hai Yeh Farhan Mera
In Ko Har Bar Main Rozay Pay Bula Leti Hun
Main To Bighrhi Hui Taqdeer Bana Deti Hun
Main Bali Sakina Hun Main Bali Sakina