Reciter: Umair Zubair

Main Kabay K Manzar Pe Ankhen Jama Dun
Namaz E Muhabbat Ada Karty Karty

Muqaddar Ky Angan Mein Chamken Sitaray
Haram Ky Sehn Mein Dua Karty Karty

Main Kaabay Kay Manzar Py Ankhen Jama Dun
Namaz E Muhabbat Ada Karty Karty

Jo Maidan E Arafat Mein Hazri Ho
Jharhi Ankh Sy Ansoo’on Ki Lagi Ho
Safa Aur Marwa Ky Phairay Lagaun
Mery Mola Teri Sana Karty Karty

Main Kabay K Manzar Pe Ankhen Jama Dun
Namaz E Muhabbat Ada Karty Karty

Mery Dard Ka Aaj Darmaan Kar Dy
Meri Bakhshishon Ka Bhi Samaan Kar Dy
Meri Zindagi Mery Mola Hai Guzri
Gunah Karty Karty Khata Karty Karty

Main Kabay Kay Manzar Pe Ankhen Jama Dun
Namaz E Muhabbat Adaa Karty Karty

Agar Chahtay Ho Khuda Ki Muhabbat
To Rakho Nabi Ky Gharany Sy Nisbat
Pahunch Jao Gy Tum Khuda Ky Bhi Ghar Mein
Muhammad Ky Ghar Sy Wafa Karty Karty

Main Kabay Ke Manzar Pe Ankhen Jama Dun
Namaz E Muhabbat Ada Karty Karty

Meri Arzoo Hai Keh Woh Din Bhi Aye
Keh Maizab E Rehmat Ky Hon Sar Py Saye
Khuda Meri Jholi Ko Farooqi Bhar Dy
Muhammad Ka Sadqa Ata Karty Karty

Main Kaabay Kay Manzar Pay Ankhen Jama Dun
Namaaz E Muhabat Ada Kartay Kartay

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply