Reciter: Mesum Abbas

Haye

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Ek Din Mein Ghar Ujarh Gaya Logo Imam Ka

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Sookha Hua Tha Sayed E Mazloom Ka Gala
Pani Nahi Mila
Gardan Pay Sheh Ki Shimr Nay Khanjar Chala Diya
Roti Thiin Sayeda
Kya Hal Kar Diya Gaya Ali Maqam Ka

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Ek Din Mein Dil Py Zakhm Bahattar Kay Khaye Hain
Khoon Mein Nahaye Hain
Hurr Jaon Aur Habib Kay Lashay Uthaye Hain
Aansoo Bahaye Hain
Khaimon Talak Janaza Jo Laya Ghulam Ka

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Seenay Say Apnay Betay Ky Naiza Juda Kiya
Haye Waa Museebata
Zehra Ka Lal Dasht Mein Bey Noor Ho Gaya
Haye Wa Museebata
Us Bey Watan Ka Haye Shah E Tishna Gaam Ka

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Haye

Zainab Kay Dill Pay Kaisi Qayamat Guzar Gai
Duniya Ujarh Gai
Maqtal Mein Sheh Ki Lash Ki Bey Hurmati Hui
Woh Dekhti Rahi
Pamal Lasha Ho Gaya Shah E Anam Ka

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Maula Kay Khandan Pay Barhti Gai Jafa
Cheeni Gai Rida
Chalta Tha Garm Rait Pay Kanton Pay Qafila
Bazar Aa Gaya
Naizay Pay Daikhta Raha Manzar Jo Sham Ka

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Pyason Ko Yad Kar Ky Sabeelen Lagao Tum
Pani Pilao Tum
Kala Libas Pehno Alam Bhi Sajao Hum
Yun Gham Manao Tum
Farsh E Aza Bichao Shaheedon Kay Naam Ka

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Ek Pal Na Bhool Payen Gay Ghurbat Hussian Ki
Jab Tak Hai Zindagi
Yun Hi Karen Gay Mesum O Azlan Azmi
Mola Ki Nokari
Zehra Say Ajar Hum Ko Milay Ga Kalam Ka

Matam Karo Hussain Alaihe Salam Ka

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply