Reciter: Nadeem Sarwar

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kalma Goyo Muhammad Ky Shami
Kya Main Mehman Aya Nahi Hun
Kya Main Zehra Ka Jaya Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Mera Baba Hai Mushkil Kusha
Meri Madar Bhi Hai Sayeda
Mera Beta Hai Zain Ul Ibaa
Meray Nana Ka Kalma Parha
Jis Kay Saye Ko Tum Dhundtay Ho
Kya Main Us Ka Hi Saya Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Tum Nay Maktoob Likhay Kai
Aaiye Jald Ibne Ali
Deen Ki Roshni Kam Hui
Shama E Islam Bujhnay Lagi
Tum Nay Chaha Tha Main Aa Gaya Hun
Khud Madinay Say Aaya Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Dastaras Mein Meri Kya Nahi
Ilm Taqwa Shujaat Yaqeen
Meray Pairon Kay Neechay Zameen
Jis Pay Rakhen Farishtay Jabeen
Main Hi Sardar E Ahl E Jinaan Hun
Koi Chota Sitara Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Meri Gardan Pay Khanjar Chalan
Aag Lagti Hai Ghar Mein Lagay
Bint E Zehra Ki Chadar Chinay
Hath Dun Ga Na Apna Tujhay
Hath Mera Yeh Dast E Khuda Hai
Main To Munkir Khuda Ka Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Sath Zehra Ki Hain Betiyan
Mohtaram In Sa Koi Kahan
Pyaas Ki Dhoop Ki Sakhtian
Sab Ky Chehray Huye Hain Dhuwan
Betiyan Fatima Ki Hain Pyasi
Sirf Ek Main Hi Pyasa Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Hukm Abbas Ko Dun Agar
Nehr Lay Aye Woh Cheen Kar
Karbala Ho Gi Zair O Zabar
Lashen Tairen Gi Har Maoj Par
Main Nahi Chahta Jang Karna
Faoj Larhnay Ko Laya Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Goonji Hal Min Ki Aisi Sada
Sheh Ko Rehan Kehtay Suna
Ya Ali Ya Ali Aeliya
Waqt Imdad Ka Aa Gaya
Meray Bachay Bilaktay Hain Pyasay
Phir Bhi Kya Muskuraya Nahi Hun

Mujh Pe Kyun Band Kartey Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply