Reciter: Nadeem Sarwar
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Dill Badil Seena Ba Seena Karbala Tameer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Yeh Matam Pehchan Hamari
Is Py Jaan Qurban Hamari
Jism Yehi Yeh Jaan Hamari
Yeh Matam Hai Shan Hamari
Kehta Hai Emaan Hamara
Saray Jawan O Peer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Asghar Teri Pyaas Ka Matam
Akbar Ka Abbas Ka Matam
Hasrat Ka Aur Yaas Ka Matam
Hasil Hai Ehsas Ka Matam
Lakh Zamana Hum Ko Rokay
Hum Is Ki Tasheer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Yeh Matam Mazloom Ka Matam
Zahra Kay Masoom Ka Matam
Pani Say Mehroom Ka Matam
Taigh Talay Hulqoom Ka Matam
Is Matam Say Hum Jo Chahen
Waqt Ko Zanjeer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Abid Ki Zanjeer Ka Matam
Khushk Galay Aur Teer Ka Matam
Zainab Ka Aur Shabbir Ka Matam
Dill Say Karen Dilgeer Ka Matam
Jo Matam Zainab Nay Kiya Tha
Ham Us Ki Tafseer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Matam Kya Hai Sheh Ka Alam Hai
Yeh Matam To Deen Ka Bharam Hai
Jis Say Khushi Ho Woh Yeh Gham Hai
Haq Ka Yehi Matam Parcham Hai
Is Parcham Ko Is Matam Ko
Seenon Pay Tehreer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Matam Jis Ka Dariya Dariya
Jis Ki ….. Emaan Ka Chehra
Jis Kay Alam Ka Khoon Mein Pharaira
Doob Gya Woh Chand Na Dooba
Us Ki Wafa Kehti Hai Hum Say
Duniya Ko Taskheer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Yad Mein Teri Sham E Ghareeban
Matam Karnay Walay Insaan
Kartay Hain Jab Chaak Garaiban
Zahra Khud Hoti Hain Giriyan
Sunnat E Zehra Hai Yeh Matam
Is Ko Alamgeer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Kar Na Saki Jo Bhai Ka Gham
Us Zainab Ki Yad Mein Ab Hum
Ranj O Khushi Say Kar Ky Baaham
Har Din Samjhen Maah E Moharram
Zakhm E Dill E Zainab Ki Khatir
Koi Dawa Akseer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Jin Ky Rasan Mein Hath Bandhay Thay
Kaisay Bhala Woh Matam Kartay
Un Ki Dilon Mein Yaad Basa Kay
Nohay Ki Matam Ki Sada Say
Ahl E Aza Zehra Ki Dua Say
Khuld Ko Jageer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Maula Aisa Zarf Ataa Kar
Yeh Matam Soghat Bana Kar
Lay Jayen Seenon Pay Saja Kar
Shehar E Najaf Mein Dill Mein Basa Kar
Apni Azadari Ka Tohfa
Nazr E Khaibar Geer Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen
Keh Den Gay Rehan O Sarwar
Hashr Mein Jab Khatoon E Mehshar
Poochen Gi Yeh Baat Jo Aa Kar
Chahiye Kya Matam Ki Bina Kar
Hum Keh Den Gay Hum Ko Ghulam E
Shabbar O Shabbir Karen
Mil Ke Sab Matam E Shabbir Karen