Reciter: Joan Rizvi
Ashiq E Hussain Ashiq E Hussain
Nasir E Hussain Nasir E Hussain
Ashiq E Hussain Nasir E Hussain
Ghulam E Hussain Ay Zuhair Ibn E Qain
Salam Salam Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Ay Qain K Betay Ay Zuhair E Saff E Awwal
Han Aaj Bhi Zinda Hai Zamanay Mein Tera Kal
Rahwar Ko Talwar Ko Bas Keh Dy Agar Chal
To Apnay Hareefon Mein Macha Deta Hai Halchal
Ay Maaz E Shajaat Yeh Zor Yeh Taqat
Tu Ran Mein Utar Aye To Dushman Py Ho Haibat
Salam Salam Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Ab Aur Bayan Kon Karay Teri Barhai
Abbas Ky Bhai Ny Kaha Hai Tujhay Bhai
Tujh Par Ho Salam Ay Shah E Wala Ky Fidai
Ghar Chorh Diya Tu Nay Wafa Aisi Nibhai
Islam Ki Khatir Tu Ban Gaya Nasir
Shabbir Sy Tu Kehta Raha Mola Main Hazir
Salam Salam Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Bolay Shab E Ashoor Diya Shah Bujha Kay
Jo Chahay Chala Jaye Abhi Jan Bacha Kay
Us Waqt Kaha Tu Nay Yeh Shabbir Say Aa Kay
Jeena Hai Mujhay Aap Py Sar Apna Kataa Kay
Teri Yeh Tajalli Sarwar Ki Tasalli
Mehdi Ny Tujhay Keh Ky Pukara Hai Tajalli
Salam Salam Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Yeh Rutba Saeeda Aur Tery Hissay Mein Aya
Han Waqt E Namaz Aya To Yeh Farz Nibhaya
Jab Teer Chalay Apna Badan Dhaal Banaya
Khud Zakhm Sahay Dilbar E Zahra Ko Bachaya
Zahra Huiin Razi Ay Ghazi Ky Ghazi
Seenay Say Laga Kay Tujhay Kehtay Thy Namazi
Salam Salam Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Jab Orh Liya Ishq E Wilayat Ka Libada
Ankhon Mein Nazar Anay Laga Teri Irada
Yeh Fikr Thi Bas Zinda Rahay Fatima Zaada
Dushman Ky Galay Kaat Diye So Say Zyada
Jo Samnay Aya Woh Bach Nahi Paya
Tu Nay Hi Sitam Gaaron Sy Khaimon Ko Bachaya
Salam Salam Salam Ay Zuhair Ibn E Qain
Ashiq E Hussain Ashiq E Hussain
Nasir E Hussain Nasir E Hussain
Ashiq E Hussain Nasir E Hussain
Ghulam E Hussain Ay Zuhair Ibn E Qain
Ay Azadaro Suno Karbobala Ka Manzar
Ran Mein Jis Waqt Zuhair Aye Mujaahid Ban Kar
Dabdaba Dekh Ky Maqtal Mein Yehi Shor Utha
Qain Ka Beta Zuhair Aya Bahadur Aya
Woh Rajaz Tu Ny Parhi Khaof Fiza Mein Chaya
Ghaiz Mein Lashkar E Batil Ko Yehi Batlaya
Tum Kisay Marnay Aye Ho Khuda Sy To Daro
Woh Muhammad Ka Nawasa Hai Zara Khaof Karo
Mujh Ko Maloom Hai Shabbir Ki Nusrat Ka Sila
Hajj Sy Atay Huye Main Raah Mein Jab Un Sy Mila
Un Ko Dekha To Mujhy Yaad Muhammad Aye
Mera Dill Kya Hai Meri Jaan Fida Ho Jaye
Phir Fighan K Liye Jab Khud Ko Utara Ran Mein
Maot Tharranay Lagi Kitnon Ko Mara Ran Mein
Ran Mein Ek Shor Tha Allah Ray Aisa Hamla
Hoobahoo Lagnay Laga Shair Ky Jaisa Hamla
Hukm Aya Keh Isy Charon Taraf Sy Ghairo
Isy Tanha Na Larha Jaye Ga Mil Kar Maro
Ik Taraf Hamlay Ko Tyar Kaseer E Shaibi
Ik Taraf Awais Ka Beta Tha Muhajir Nami
Mil Ky Dono Ny Jo Talwar Sy Mara Haye
Ran Mein Ghorhy Sy Bin E Qain Zameen Par Aye
Al Gharaz Khuld Chalay Ran Mein Shahadat Paa Kay
Jaon O Zeeshan Ny Kaha Shah Ny Yehi Pas Aa Kay
Ay Bahadur Ay Shuja’at Ky Parastar Salam
Dekh Karty Hain Tujhy Haider E Karrar Salam
Salam Salam Salam Salam
Salam Salam Salam Ay Zuhair Ibn E Qain