Reciter: Shahid Baltistani

Sayeda Sayeda Sayeda Sayeda

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha
Phir Nishan Us Ka Mitana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Baad Baba Kay Ajab Aalam E Tanhai Tha
Aur Phir Sara Madina Hi Tamashai Tha
Fatima Par Woh Zamana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Hath Paband Hain Gardan Mein Hai Jis Kay Rassi
Hai Woh Mazloom Mera Wali Zamanay Ka Wali
Ja Kay Dar Dar Pay Batana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Pasliyan Toot Kay Yun Choor Thiin Shehzadi Ki
Karnay Lagti Thiin Jo Khaliq Ki Ibadat Bibi
Hath Pehloo Say Hatana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Poocha Zainab Nay Jo Baalom Mein Sufaidi Kiun Hai
Ro Kay Beti Say Faqat Itna Kaha Zahra Nay
Bharay Darbar Mein Jana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Maikh Darwazay Ki Pehloo Mein Garhi Thi Lekin
Dard Say Sans Bhi Lena Tha Jahan Na Mumkin
Phir Bhi Haider Ko Bachana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Thi Woh Ghurbat Ki Bahut Sakht Gharhi Zahra Par
Qatl Mohsin Bhi Hua Mujh Pay Gira Jalta Darr
Gham Yeh Haider Ko Batana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Qabr E Zahra Pay Yeh Kehtay Thay Ali Ro Ro Kar
Tha Meray Wastay Aasan Uthana Khaibar
Tera Taboot Uthana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Mamta Maan Ki Raza Hum Say Raqam Kaisay Ho
Haye Darwaish Keh Us Dard Mein Bhi Bachon Ko
Apnay Pehloo Mein Sulana Koi Aasan Na Tha

Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply