Qayam Sughra Ka Lyrics Ali Hamza Noha 2019

Qayam Sughra Ka Lyrics written in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Ali Hamza in 2019. View and download Ali Hamza noha lyrics similar to lyrics of Qayam Sughra Ka on Khairilamal.

Qayam Sughra Ka Lyrics by Ali Hamza in English text

Qayam Sughra Ka

Sakht Hai Kitna Qayam Sughra Ka

Qayam Sughra Ka

Musafiron Mein Nahi Hai Jo Naam Sughra Ka
Safar Sy Sakht Hai Kitna Qayam Sughra Ka

Mujhy Sawari E Fizza Mein Hi Bitha Lijiye
Tha Hath Jorh Ky Shah Sy Kalam Sughra Ka

Safar Sy Sakht Hai Kitna Qayam Sughra Ka

Diye Jalana Jala Kar Mundair Py Rakhna
Hawa Ki Minnaten Karna Hai Kaam Sughra Ka

Safar Sy Sakht Hai Kitna Qayam Sughra Ka

Guzar Leti Hai Woh Intezar E Sham Mein Din
Nahi Guzarta Magar Waqt E Sham Sughra Ka

Safar Sy Sakht Hai Kitna Qayam Sughra Ka

Woh Haal E Zaar Tha Zainab Ny Bhi Na Pehchana
Woh Poochti Rahi Sughra Sy Naam Sughra Ka

Safar Sy Sakht Hai Kitna Qayam Sughra Ka

Jo Poocha Kis Py Qayamat Hui Tamam Navaid
To Aa Gya Lab E Abid Py Naam Sughra Ka

Safar Sy Sakht Hai Kitna Qayam Sughra Ka

Musafiron Mein Nahi Hai Jo Naam Sughra Ka

Safar Sy Sakht Hai Kitna Qayam Sughra Ka

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *