Reciter: Joan Rizvi

Hussain Hussain Husssain Hussain

Dil Mein Ishq E Karbala Ur Aankh Mein Aansoo Liye
Hum Chaly Paidal Yahan Bhi Karbala K Wastey

Kya Hua Gar Is Baras Hum Karbala Na Ja Saky
Apny Maola Ki Kareemi Py Bharosa Hai Mujhy

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Har Qadam Zehn Mein Ho Karbala
Aur Honton Py Ya Hussaina Ho
Koi Thak Jaye Chalty Chalty Agar
Us Ki Khidmat Karo Duayen Lo
Un Duaon Ka Yeh Sila Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Koi Pyasa Agar Nazar Aaye
Us Ko Pani Pilao Tum Barh Kar
Har Azadar Ka Khayal Rakho
Ho Ga Shabbir Ka Karam Tum Par
Jam Karam Tum Py Barhaa Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Soorat E Raah E Karbala Har Soo
Hain Sabeelen Kai Moakib Hain
Dill Mein Mojood Hai Gham E Sarwar
Door Karbobala Sy Hum Kab Hain
Sab Ki Qismat Ka Faisla Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Ay Azadaro Bhool Na Jana
Yad Sadaat Ka Safar Rakhna
Haye Woh Raah E Sham Aur Kaanty
Jis Py Sajjad Nangy Paon Chaly
Bey Rida Haye Zainab E Muztar
Aur Sar Par Barasty Woh Pathar
Kholta Pani Un Py Phainka Gya
Jis Safar Mein Hussain Ki Beti
Shimr Ky Tazianay Sehti Rahi
Sar Thy Naizey Py Sab Shaheedon Ky
Aur Aseeron Ky Hath Jakrhy Thy
Ay Wafadar Ky Wafadaron
Tum Jo Azad Ho Azadaron
Bas Yeh Sadqa Hai Un Aseeron Ka
Ishq E Mabood Ky Safeeron Ka
Agy Barhty Raho Baraye Hussain
Ho Sada Lab Py Haye Haye Hussain

Ho Sada Labb Py Haye Haye Hussain

Karbala Dekhny In Ankhon Se
Itna Be Chain Hai Hamara Dill
Ay Habib E Hussain Naam Likhen
Door Rehna Hai Ab Bahut Mushkil
Naam Jis Jis Ka Likha Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Ishq E Sarwar Ki Intiha Dekho
Nangy Paon Hain Log Mehw E Safar
Us Ky Rasty Ko Saf Karty Chalo
Raah Mein Aaye Na Koi Kankar
Khidmaton Ka Jo Haq Ada Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Beth Kar Zayeron Ky Qadmon Mein
Kar Rahy Hain Jo Khidmaten Har Jaa
Dekh Kar Jazba O Khuloos Unka
Mery Dill Se Nikal Rahi Hai Dua
Un Ki Khidmat Ka Yeh Sila Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Yeh Safar Kijiye Qubool Hussain
Aap Ko Wasta Hai Abid Ka
Karbala Hum Bhi Jayen Agly Baras
Joan O Zeeshan Kar Rahy Hain Dua
Izn Jab Aap Ka Ata Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Hum Chaly Paidal Yahan Bhi Karbala K Wastey
Apny Mola Ki Kareemi Py Bharosa Hai Mujhy

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply