Reciter: Nadeem Sarwar
Sarkar Ya Ali Sarkar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Roti To Ho Gi Ap Ki Talwar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Shahzadion Ky Sar Py Ridayen Nahi Rahiin
Bachon Ky Bas Bachon Ki Maayen Nahi Rahi
Khushiyan To Kya Khushi Ki Hawayen Nahi Rahiin
Looti Gai Hai Ap Ki Sarkar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Abbas Jo Hussain Ky Lashkar Ki Aas Tha
Lagta Tha Aap Sath Hain Jab Tak Woh Pas Tha
Na Khaof Koi Tha Na Kisi Ko Hiraas Tha
Utha Hai Sar Sy Saya E Deedar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Cheeni Gaiin Sitam Sy Sakina Ki Balian
Rukhsar Par Numayan Tamanchon Ky Hain Nishan
Shimr E Laeen Jo Bachi Ko Deta Hai Ghurhkian
Maqtal Mein Kanpta Hai Alamdar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Ab Sham Ka Safar Aur Nabi Ki Nawasiyan
Pehny Huye Hain Sayed E Sajjad Bairhian
Zalim Jo Ly Ky Aye Hain Lashon Ky Darmian
Ankhon Sy Khoon Bahata Hai Beemar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Woh Dekho Bazo’on Mein Hai Zainab Ky Reesman
Sar Nangy Jis Ki Maan Ko Na Dekhy Hai Aasman
Balwy Mein Sar Khuly Hai Woh Makhdooma E Jahan
Koi Nahi Hai Moonis O Ghamkhuwar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Zehra Lehad Ko Chorh Ky Yasrab Sy Aai Hain
Faryad Apny Lab Py Khadija Bhi Lai Hain
Maqtool Karbala Mein Jo Zainab Ky Bhai Hain
Mara Gaya Hai Khuld Ka Sardar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Bazo Qalam Huye Hain Alam Hai Lahu Lahu
Asghar Ky Khoon Sy Kar Liya Shabbir Ny Wuzuu
Phaili Hui Hai Gham Ki Fiza … . Char Soo
Jis Mein Hai Sans Lena Bhi Dushwar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Bazm E Aza Mein Sarwar O Rehan Gham Ky Phool
Tum Ny Khilaye Aisy Keh Razi Huiin Batool
Roz E Hisab Dekhna Farmayen Gy Rasool
Dono Hussain Ky Hain Azadar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali
Roti To Ho Gi Ap Ki Talwar Ya Ali
Aal E Rasool Koocha O Bazar Ya Ali