Reciter: Tejani Brothers
Sayada fatemah
Shohar wali, pidar hai payambar, pisar imam
Jis bibi ka nabi pe, lazim tha ehtaraam
Ummat ko baad-e-ehmad, ayi na kyu(n) haya
Sayyada fatemah
Duniya ko khalq karke, Allah ne kaha,
Sara jahaan tere, sadqe me hai bana
Uncha hai kitna bibi, ye martaba tera
Sayyada fatemah
Bibi tumhare dar se humko hai aasra
Zainab ka waasta hay sunlijiye dua
Miljaye roze hashr, chadar ki bas hawa
Sayyada fatemah
Kehti rahi mei fatema, bint-e-rasool hu(n)
Bagh-e-Fidak ko cheen ke khush ho rahe ho kyun
Bint-e-rasool ki hai, kya hai yahi jaza
Sayyada fatemah
Tutti huwi kamar hai, mohsin guzar gaye
Ummat ne mujh pe baba kya kya sitam kiye
Qabre rasool par yu(n) karti rahi buka
Sayyada fatemah
Zainab ko ye wasiyyat deti hai fatema
Bazar-e-sham o kufa ka hoga marhala,
Deene khuda ka us dam, tum hogi aasra
Sayyada fatemah
Zahra ka laal tha aur, zalim ki fauj thi
Chaaro(n) taraf se aayi, barsaat teer ki,
Gore se jab gire to, sarwar ne di sada
Sayyada fatemah
Balo(n) se saaf karti, zahra woh sar zami(n)
Jis khaak pe ghiregi, shabbir ki jabi(n)
Kya maa ke dil pe ghuzri, jab sheh ka sar kataa
Sayyada fatemah
Beparda qafla jab, aale rasul ka,
Karbobala me lut ke, zindan ko chala
Zainab ko har qadam par, deti thi hosla
Sayyada fatemah
“Shabbir ki dua hai” Abbas ki dua
Jeeteji nawha dono, parhte rahe tera
Marte huwe bhi lab par, bas ho yahi sadaa
Sayyada fatemah